Rasn mei gale bara aur barhena sar jab
Aaye shaam ke darbar mei darida jigar
Padi sakina pe nagah us shaki ki nazar
Yazid naam tha jiska sajaye tha darbar
Liye tha godh mei dukhtar ko apni woh makkar
Woh apni bachchi ke balon mei haath perta tha
Laga ke sine se bachchi ko pyaar se dekha
Lehek ke bali sakina se shaki bola
Tujhe bhi baba tera eyse hi pyaar karta tha
Kaha sakina ne mei shahedi ki pyaari hoo
Tabaha haal hoo is dum dukho ki maari hoo
Tu mere baba ka gandi zubaan se naam nale
Guror itna nakar bandh ke rasn mei hame
Mei kitni pyaari thi baba ki kya bataon tujhe
Mei bhol sakti nahi apne baba ko marke
Mei jab bhi roti thi baba mujhe manata tha
Are bandha ke haatho ko jula mujhe julata tha

Haa tha mera baba mere liye zindan
Haa tha mera baba (2)

Mei sine pe soti thi (2) Taskin si hoti thi (2)

Maa banke mujhe jisne aagoosh mei pala tha

Kya puchta hai mujh se (2) Kud puchle baba se (2)
Sar taaqt pe rakkha hai woh bhi bata denge

Mei jiski dulari hoo (2) Woh dard ki maari hoo (2)
Gar simt bulao mei sar godh mei aayega

Kyu mujh ko rolata hai (2) Esa kahi hota hai (2)
Bin baap bachhi ko dete hai delasa

Teri bhi tu beti hai (2) Godi mei jo bethi hai (2)
Tu dekh use zalim phir dekh mera chehra

Abbas agar hote (2) Kunbe ko mere kese (2)
Tu bandh ke rassi mei darbar mei lata

Yeh kurta phata mera (2) Jo khoon mei hai dooba (2)
Abbas jo dekhenge ek hasr uthenga

Chalta na agar khanjar (2) Shabbir ki gardan par (2)
Hum qaid nahi hote akbar na sina khata

Yeh khaak asiri ki (2) Chehro pe nahi hoti (2)
Baba mera sajde mei gar sar na katata

Rehan kalam mera (2) Likh kar yeh bayan roya (2)
Kagaz pe gire aanso dil dard se tadpa

Haa tha mera baba (2)