Haye Lashay Aun E Muhammad a.s K Jab Utha Laye Hussain a.s

Pocha Zainab s.a Ne Yeh Shabbir a.s Se Karte Howe Bain

Mere Bachon Ne Wasiyat Bhi Koi Ki Bhaiyya
Roo K Zainab s.a Se Yeh Kehne Lage Us Waqt Hussain a.s

Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna
Akhiri Hijki Mein Kehte Thy K Amma Se Yeh Kehna

Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna

Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna
Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna


Dard Seenay Mein Jo Uthta Hai Teharta Bhi Nahi
Khoon Ansoo Se Jo Behta Hai Wo Rukta Bhi Nahi

Apki Ham Ne Nasiyat Na Bhulai Amma
Pani Peena Tu Kuja Pani Ko Dekha Bhi Nahi

Zakham Itne Hain K Mushkil Howa Ab Dard Ko Sehna

Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna


Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna
Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna


Amma Nana Ne Duain Di Hamein Barh Barh Kar
Aur Dada Ne Kaha Jeetey Raho Jaan O Jigar

Kitni Rahat Mili Ham Kaise Bataein Amma
Waqt E Akhir Jo Liya Mamoo Jo Aghosh Mein Sar

Unki Aghosh Mein Yeh Mout Lagi Phoolin Ka Gehna

Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna

Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna
Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna


Amma Ham Sadqa Hai Akbar a.s Ka Hamein Mat Roona
Koi Sadqay K Liye Ansoo Bahata Hai Kiya

Bhaiyya Akbar a.s Ki Bari Dhoom Se Shadi Karna
Ham Rahein Na Rahein Zinda Rahay Akbar a.a Tera

Tere Shahzadon Ne Hai Mout Ka Sehra Pehna

Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna

Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna
Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna


Amma Tum Lout K Jis Waqt Watan Jao Gi
Khali Khujroon Mein Wahan Ham Ko Nahi Pao Gi

Tumko Baba Ki Qasam Sabar Wahan Par Karna
Ham Ko Maloom Hai Us Waqt Tarap Jao Gi

Yaad Aa Jaye Ga Jis Waqt Hamara Kehna

Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna

Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna
Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna


Sun K Yeh Noha Bohat Roonay Lage Ahl E Aza
Arsh Aur Farsh Se Aanay Lagi Girye Ki Sada

Kaisi Purdard Wasiyat Hai Yeh Shahzadon Ki
Roo K Farhan Se Yeh Kehne Laga Zille Raza

Noha Yeh Aun O Muhammad a.s Ka Sunatay Rehna

Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna


Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna
Maa Ham Se Raazi Rehna
Maa Ham Se Raazi Rehna