Abbas, abbas
Har jang mein lehrata raha
haan
ghazi ka nisha'n haan
aisa alam, aisa hasham, aisa bharam
dekha kahi'n haan
abbas ke haatho'n mein ooncha tha alam
ooncha rahega
ooncha rahe apna alam..(4)

1. Pehle ye alam ja'far e tayyar ne paaya
Ja'far se chala Haider e qarrar ne paaya
shabbir se lashkar ke alamdaar ne paaya
aur ham ne julooso mein yehi kehke uthaya
ooncha rahe apna alam..(4)
Abbas, abbas..

2. Panja jo alam par hai wo ek dast e karam hai
ek mashk e sakina hai mohabbat ka bharam hai
yani ye chacha aur bhatiji ka alam hai
isne hi sabaq humko wafao'n ka padhaya
ooncha rahe apna alam..(4)
Abbas, abbas..

3. Kaala hai kabhi surkh kabhi sabz pharera
hota hai ise dekhke momin ka sawera
toofano ka rukh isne kayi baar hai phera
ye kehke husaini ne ise chhat pe lagaya
ooncha rahe apna alam..(4)
Abbas, abbas..

4. Jis simt nazar jaye isi ka to karam hai
kya baat hai, kya rob hai, kya jaho hasham hai
le aao agar aur koi aisa alam hai
khud jisko kayi baar hai Zehra ne sajaya
ooncha rahe apna alam..(4)

5. Jis qaum ne maana hai ise wo nahi marti
taqdeer ise choom ke hai pal mein sawarti
wo hind ki dharti ho ke ho sindh ki dharti
har hindu musalmaan ne ye kehke uthaya
ooncha rahe apna alam..(4)
Abbas, abbas..

6. Ashoor ki shab shah ne Zainab ko bulaya
ghazi ko alam dekhe ye zainab ko bataya
aye behna alamdaar ise humne banaya
zainab ke uthe dast e dua boli khudaya
ooncha rahe apna alam..(4)
Abbas, abbas..

7. Hai ehle azaa aur azakhano ki pehchan
zainab ki dua aur ataa e shahe zeeshan
har saal sajate hai alam mazhar o irfan
is ishq ne hi zakir e shabbir banaya
ooncha rahe apna alam..(4)
Abbas, abbas..