Sar E Qabr E Zehra Ali Ro Rahay Hain Noha Lyrics Farhan Ali Waris 2019

 Andhere Andhere Yateemon Se Chup Kar
Sar E Qabar E Zehra s.a Ali a.s Roo Rahe Hain

Andhere Andhere Yateemon Se Chup Kar
Sar E Qabar E Zehra s.a Ali a.s Roo Rahe Hain

Ya Zehra s.a Ya Zehra s.a

Tumhari Musibat Bhulaon Ga Kese
Mein Bachon Se Ansoo Chupaon Ga Kese
Tumein Yaad Kar K Jo Rooyein Gy Bachay
Mein Bachon Ko Apne Manaon Ga Kese

Tasawwar Mein Zehra s.a Se Kar K Yeh  Baatein
Jhukaye Sar Apna Ali a.s Roo Rahay Hain


Andhere Andhere Yateemon Se Chup Kar
Sar E Qabar E Zehra s.a Ali a.s Roo Rahe Hain
Ya Zehra s.a Ya Zehra s.a

Kabhi Ansoo'on Ko Chupati Hai Zainab s.a
Kabhi Bhaiyon Ko Uthati Hai Zainab s.a
Kabhi Ghar K Aangan Mein Ati Hai Zainab s.a
Kabhi Maa K Hujry Mein Jati Hai Zainab s.a

Kabhi Roo K Dukhiya Yeh Karti Hai Noha
Utho Amma Fizza s.a Ali a.s Roo Rahay Hain


Andhere Andhere Yateemon Se Chup Kar
Sar E Qabar E Zehra s.a Ali a.s Roo Rahe Hain
Ya Zehra s.a Ya Zehra s.a

Utho Shahzadi Howa Hai Andhera
Tumhare Bina Woh Kahan Soo Sakay Ga
Mein Jaon Ga Wapis Tu Bolay Ga Baba
Meri Maa Kahan Hai Bola Do Khudara

Akele Jala Kar Chiraagh Ansoo'n Ka
Sar E Qabar E Zehra s.a Ali a.s Roo Rahe Hain


Andhere Andhere Yateemon Se Chup Kar
Sar E Qabar E Zehra s.a Ali a.s Roo Rahe Hain
Ya Zehra s.a Ya Zehra s.a

Hai Shehar E Nabi s.a.w.w Mein Samaa Karbala Ka
Na Koi Tasalli Na Koi Dilasa
Tarastay Hain Ghar Mein Yateemanay Zehra s.a
Koi Aa K Deta Nahi Inko Pursa

Hussain O Hassan a.s Ka Kahin Par Hai Girya
Kahin Mere Mola Ali a.s Roo Rahay Hain


Andhere Andhere Yateemon Se Chup Kar
Sar E Qabar E Zehra s.a Ali a.s Roo Rahe Hain
Ya Zehra s.a Ya Zehra s.a

Kabhi Iss Jagah Ko Na Bhoolain Gy Mola
Yeh Koocha Hai Maqtal Dil E Murtaza s.a.w.w Ka
Yahan Se Na Guzray Hassan a.s Baad E Zehra s.a
Sitamgar Ne Maara Tha Yun Taziyana

Muhammad s.a.w.w. Ki Beti Zameen Par Giri Thi
Yahan Beithy Tanha Ali a.s Roo Rahe Hain


Andhere Andhere Yateemon Se Chup Kar
Sar E Qabar E Zehra s.a Ali a.s Roo Rahe Hain
Ya Zehra s.a Ya Zehra s.a

Wo Lamhein Hain Mushkil Ali a.s Ko Bhulana
Wo Pehlu Pe Jalty Howay Dar Ka Girna
Wo Aahon Ka Marna Wo Zakhmon Ka Risna
Shahadat Wo Mohsin a.s Ki Zehra s.a Ka Roona

Takallum Abhi Tak Issi Bekasi Par
Lahad Mein Bhi Mola Ali a.s Roo Rahe Hain

Andhere Andhere Yateemon Se Chup Kar
Sar E Qabar E Zehra s.a Ali a.s Roo Rahe Hain

Sar E Qabar E Zehra s.a Ali a.s Roo Rahe Hain

Sar E Qabar E Zehra s.a Ali a.s Roo Rahe Hain

Socializer
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →