
Kushta shud barozay ashura hussain(a.s)
dar zameene karmay karbala hussain(a.s)
teshna lab futa adab has jafa hussain(a.s)
(parah parah mashud parah parah mashud, jisme shahenshahe zaman) x3
(Dasht may tukray hwa) x2 hay shahadeen ka badan
(parah parah mashud parah parah mashud, jisme shahenshahe zaman) x2
Baal khulay huway zehra(s.a) yeh buka karnay lagi
Ya hussain(a.s) ya hussain(a.s)
Meray bachay ka koi mohniso ghamkhwar nahi
(Ek musafir ko milay) x2
Kitnay yahan ranjho mahan
(parah parah mashud parah parah mashud, jisme shahenshahe zaman) x2
Jis ka moo chumkay kehtay they rasol-e-(s.a.w) dosara
Ya hussain(a.s) ya hussain(a.s)
May hoon shabir(a.s) say or mujh say hai shabir(a.s) mera
(Woh muhammad(s.a.w) ka pisar) x2
Qatl hwa teshnadahan
(parah parah mashud parah parah mashud, jisme shahenshahe zaman) x2
Koi mehman pay kya karta hai is tarhan jafa
Ya hussain(a.s) ya hussain(a.s)
Tera zarbo say kiya shimr nay sar tan say juda
(Teen din tak woh raha) x2
Dasht may bay goro kafan
(parah parah mashud parah parah mashud, jisme shahenshahe zaman) x2
Khaak aloda badan dekh ke kehtay hai nabi(s.a.w)
Ya hussain(a.s) ya hussain(a.s)
Ay musalman bata ajr-e-risalat hai yahi
(Kaisay paamal kiya) x2
Tu nay yeh nazuk sa badan
(parah parah mashud parah parah mashud, jisme shahenshahe zaman) x2
Qatl ke baad bhi kartay hai sitam ahl-e-jafa
Ya hussain(a.s) ya hussain(a.s)
Teray lashay ko sitamgaro nayu pamaal kya
(Bain karti hi rahi) x2
Dasht may mazloom behan
(parah parah mashud parah parah mashud, jisme shahenshahe zaman) x2
Aik behan rait ke telay pay buka karnay lagi
Ya hussain(a.s) ya hussain(a.s)
Phair di shimr-e-sitamgaar nay gardan per chori
(Karbala kaanp uthi) x2
Roti rahi shah ki behan
(parah parah mashud parah parah mashud, jisme shahenshahe zaman) x2
Baday pamaal laino nay sitam yeh bhi kye
Ya hussain(a.s) ya hussain(a.s)
Kati angosht sitamgar nay anghoti k lye
(Yeh sitam kaisa huwa) x2
Ronay lagay dasht-o-daman
(parah parah mashud parah parah mashud, jisme shahenshahe zaman) x2
Tum bhi "farhan" saray farshe aza karna dua
Ya hussain(a.s) ya hussain(a.s)
Bazme matam may jo allah(j.j) say "mazhar" nay kaha
(Mawt jab aye mujhay) x2
Ho meray hoton pay sukhan
(parah parah mashud parah parah mashud, jisme shahenshahe zaman) x2
Social Plugin