
Jub shaam ka bazaar a gaya
Or cheeni gay jub chadar
Jub zaalim nay zainab(s.a) ka naam pukara
Zainab(s.a) zainab(s.a) zainab(s.a)
Yeh pukari ro kar
(Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x3
(phir us ke baad kuch na mangoongi) x2
Zaleemo say meri rida laday
(Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2
Laash to kab ki ban chuki hoon may
Dil to bas aadatan dharakta hai
Maar dalay na yeh sitam mujh ko
Meray bhai yeh mujh ko lagta hai
(jo chahta hai zindagi meri) x2
Zaleemo say meri rida laday
(Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2
Dekh sajjad(a.s) ki taraf ghazi(a.s)
Tujh say karti hai yeh fughaan zainab(s.a)
Aik yahi bojh us ke dil per hai
Kahan bazar or kahan zainab(s.a)
(hai aik raah us ke jeenay ki) x2
Zaleemo say meri rida laday
(Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2
Kaise tanay sahoon may logon kay
Ghum say phatnay laga hai dil mera
Sub yeh kehtay hai yeh woh zainab(s.a) hai
Jis ka abbas(a.s) jaisa bhai tha
(zabanay bandh karday tu sub ki) x2
Zaleemo say meri rida laday
(Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2
Meri haalat meri gharebi per
Bhai nezay say khoon rota hai
Amma roti hai aur baba(a.s) bhi
Kyun ke ab waqt aisa aya hai
(ab aa rahi hai ik kaneez meri) x2
Zaleemo say meri rida laday
(Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2
Karbala bas gayi hai aankhon may
Marsiya ban gaya mera chehra
Taziyaano nay ay meray ghazi(s.a)
Pusht per likh diya safar mera
(hai is kay baad bhi buka meri) x2
Zaleemo say meri rida laday
(Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2
Ik sitam or bhi yeh baki hai
Kis tarhan tay yeh marhala ho ga
Haath rasi may or khulay sar hoon
Kaisay shereen say saamna ho ga
(ya ay moot ya meray ghazi(a.s)) x2
Zaleemo say meri rida laday
(Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2
Dekhti hai mujhay najis aankhay
Naam mera shakee ke lab per hai
Kash kha jaye yeh zameen mujh ko
Aisay jeenay say yahi behtar hai
(yeh aakhri hai iltija meri) x2
Zaleemo say meri rida laday
(Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2
Ja kay "farhan" un kay rozay per
Tum suna dayna yeh kalaam mera
Bibi zainab(s.a) kaha hai "mazhar" nay
Teri azmat ko hai salaam mera
(jo apnay bhai ko yeh kehti rahi) x2
Zaleemo say meri rida laday
(Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2
(Phir us ke baad kuch na mangoongi) x2
Zaleemo say meri rida laday
Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day
Social Plugin