Ek shor hua barpa
Saadat ke matam se
Sar bacchi ne takraya
Abbas ke parcham se
Gash khane lagi Zainab
Laachar hui gam se
Behosh hui madar
Hain baap ke haathon par
Akbar ka janaza
Khayme me aya hain Akbar ka janaza
Haye khayme me aya hain Akbar ka janaza

Behosh hui madar
Hain baap ke haathon par
Akbar ka janaza

Khayme me.....
Haye khayme....

Humshakle payambar ka gumkhwaj mila jaisa
Lagta hain safar yeh hain duniya se Mohammed ka
Fizza ne kiya Nauha Kulsum ne sar pita.....x2
Behosh hui madar
Hain baap ke haathon par
Akbar ka janaza
Khayme me...
Haye khayme...

Atthara baras pala jis laal ko Zainab ne
Us sher ki furkat ne dil chaak kiya aise
Bhaiya ko kabhi dekha poshak kabhi dekha...x2
Behosh hui madar
Hain baap ke haathon par
Akbar ka janaza
Khayme me....
Haye khayme...

Kya socha tha yeh dil ne faryad hain Zainab ki
Mannat bhi badhayegi armaan nikalegi
Furkat ki sina lekin ab jaan nikalegi....x2
Behosh hui madar
Hain baap ke haathon par
Akbar ka janaza
Khayme me...
Haye khayme ....

Sar pita Sakina ne aur bayn kiya aise
Main negh na mangugi yeh wada raha tumse
Kya haal kiya sabka aye bhai tere gam ne...x2
Behosh hui madar
Hain baap ke haathon par
Akbar ka janaza
Khayme me....
Haye khayme....

Accha hi huwa ghar se saath ayi nahi sughra
Woh dekh nahi pati jo haal hain kunbe ka
Malum nahi usko kis haal me hain bhaiyya...x2
Behosh hui madar
Hain baap ke haathon par
Akbar ka janaza

Toofan hain ashkon ka saadat ke khaymon me
Kyu hashr na ho barpa saadat ke khaymon me
Kya laye shahe wala sadat ke khaymon me....x2
Behosh hui madar
Hain baap ke haathon par
Akbar ka janaza
Khayme me....
Haye khayme....

Farhan yeh kehta hain dil thame huwe rokar
Akbar ke masaeb tum likh sakte nahi Mazhar
Bas khatm karo nauha qirtas pe yeh likhkar.....x2
Behosh hui madar
Hain baap ke haathon par
Akbar ka janaza
Khayme me..
Haye khayme...