(Parchame abbas) x2

    Ha yehi parcham hussaini, foj ka bankar nishan. Jis gari pocha tha foj-e-ashkiya ke darmiya(n). Har taraf se aa rahi thi, bas sadaa-e-alamaa(n). Nara-e-abbas tha or thi farishto ki zuban

    (Parcham Abbas ka) x4
    Is alam ke sath he jo, saath mash kiza bandha. Bazu abbas parje, se ho tawize bapa. Na alam isse juda hai. Na alam se ye juda. Is alam pe saya afgan, he dua-e-sayyeda

    (Parcham Abbas ka) x4
    Ha yahi parcham ali ke, haath me har jange me. Karbala poncha dua-e-sayyeda ke ran me. Ha isi parcham pukara, tha ali ne sang me. Dorta hai khun isko, dekhe kar rang rang me.

    (Parcham Abbas ka) x4
    Ha isi parcham se aya, karbala me inkilaab. Leke isko jab gaya darya pe ibne buturab. Jumuli maujoone bhar kar, aspe gazi ki rakaa. Iske panje ki chamak se, roshni le aftaab

    (Parcham Abbas ka) x4
    Jab talak uncha raha par, ban me gazi ka alam. Aa sakena khaymay-e-sarwar me ada ke kadam. Ye alam tandha huwa rone lage shahe umam. Roke kehte the yahi tha, mere lashkar ka bharam

    (Parcham Abbas ka) x4
    Ye alam tha raasta zainab, or sakina ke liye. Dhup me icha uthaye, shah-e-wala ke liye. Is ka girna mawt-e-se bar, kar tha akaa ke liye. Mawt ke payghame ye parcham tha adaa ke liye

    (Parcham Abbas ka) x4
    Aaj har ghar par alam hai, mere ghazi ka sajaa. Hazrat-e-zainab ki puri, hogayi akhir dua. Marhaba abbas-e-gazi, marhaba sad marhaba. Asamaa(n) to juk gaya tera alam uncha raha

    (Parcham Abbas ka) x4
    Is alam ki shaan to us, roz dekhenga jahaa(n). Ayenga jis roze is parcham ka waris bayebaa(n). Kufr ki basti pe tute, ye hazaro bijliyaa(n). Momino ke sar pe honga, is alam ke sahiba

(Parcham Abbas ka) x4