(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
(Aarzu hai yeh nabi ki) x2
Ruk nahi sakti kabhi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Chawdaa sadiyaan ho gayi hai
Majlise Shabbir ko
Khun se Iikhte rahe ham
Gham ki iss tehrir ko
(Yeh sadaa hai karbalaa ki) x2
Yeh sadaa Shabbir ki Hogi yeh majlis to hogi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Tegon ke saayen me palte hai
Husaini Nawjawaan
Maut se larna sikhati hai
Hame lori me maa
(Apne khun se morte hai) x2
Har gam to teg ki
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Sunnate Zainab ye majlis
Sunnate Zainul ebaa
Shaam ke darbaar me
Majlis huwi Maatam huwa
(Ruk na paee shaam me jab) x2
Kya rukengi ab sabi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
God ka bacchaa ho koyi
yaa jawano pir ho
Dekho usko uss gadhi
Jaab maatame Shabbir ho
(Ek hai raftaar sabki) x2
Ek hai aawaaj bhi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Saw janaaze ham uthaae
Apne pyaaron ke to kya
Ruk nahi sakta Azaadari
Kaa yeh silsilaah
(Apne hi khun me naha kar) x2
Ham pukaarenge yahi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Chin bhi jaaye gar hussaini
Maaon se unke jawaan
Yaad karke zakhme akbar
Ko kahengi sab yeh maa
(Tha aliakbar sa sadqa) x2
Laal mera maatami
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Keh raha hai parchame
Abbas ka panja yehi
Hath kat jaye to matam
Ruk nahi sakta kabhi
(Sar ko takra kar karenge) x2
Aag par chal kar kabhi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Ai azaadaro hussain
Ibne ali ke maatami
Yu guzaro tum azadari me
Apni zindagi
(Pairwi karte hi rehna) x2
Abu zaro salman ki
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Social Plugin