(Haai Shaam ka baazaar) x4
Sajjad se rone ka sabab puch raha hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Jo Shaam me guzri hai woh sab puch rahaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Woh lakho tamasai be parda fufi behne
Aise na lahu roye bimaar ki fir aakhen
Is gam ki aziyyat ne use maar diya hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Kis tarah karaar aaye bimaar ko ay logon
Sar naizon pe pairon ke aate hai nazar jisko
Yeh juror musafir ki yeh kaisi sazaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Aakhon se hai khun zaari Khar hai bimaari
Janjir hai pairon me Aur Tawk bhi hai bhaari
Jalti hai zamin saari Aur garm hawaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Zaagir nahi maangi zanjir nahi badli
Saaye me nahi baitha poshaak nahi badli
Maan behno ki khaatir woh rida maang raha hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Zinda se masaaeb bhi har waqt rulaate hai
Mar jaye na Zainab ye kahi shoch rha hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Jinda se rihaa hoke bhi jinda me hain Sajjad
Ek nanhi si turbat karti hai faryaad
Markar bhi rahun Qaid me kya meri khataa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Be zakhm bhi sajjad ko jine nahi deta
Zakhmon se sakina ke jo chipkaa raha kurtaa
Woh Khun bharaa kurta hi kafan Us ko banaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Baazaar me darbaar me jinda me roye
Chaalis baraz mawt ke armaan me roye
Rehan mera maula tadaptaa hi rahaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Sajjad se rone ka sabab puch rahaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Jo shaam me guzri thi woh sab puch raha hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Social Plugin