
Surkh Ye Andhiya Kiyon Chalti Hain
Kiyon Falak Se Laho Barasta Hai
Nani Jaan Ap Ki Ye Khamoshi
Meri Be Chaini Or Badhati Hai
Iss Baraste Hue Lahu Se Mujhe
Mere Asghar Ki Khosbon Aati Hai
Dhaikho Ye Surkh Andhi Kiyo Mujko
Uska Zakhmi Gala Dhikhati Hai
Umme Salma Ne Kaha Tham Ke Dil Sun Sughra
Jisko To Lori Sunati Thi Jhola Kar Jhula
Itni Shidat Se Usse Teer Laeen Ne Mara
Ruk Gayi Sans Khula Reh Gaya Munh Pyase Ka
Marne Walon Ko Jab Sar Na Mile Ga Uska
Maar Kar Naiza Nikale Ge Wo Lasha Uska
Wa Asghara Wa Asghara
Boleen Sughra Na Jane Kiyon Nani
Mere Seene Se Dard Uthta Hai
Maine Dhaikha Ke Nojawan Koi
Khak Par Aediyan Ragarta Hai
Mere Akbar Ki Khair Ho Wo Jawan
Mere Bhai Ke Jaisa Dhikhta Hai
Umme Salma Ne Kaha
Hai Nahi Tha Wo Tera Bhai Jo Ab Mara Gaya
Wo Tujhe Laine Nahi Aye Ga Ab Ae Sughra
Uske Seene Mai Laeen Tod Chuka Hai Naiza
Iss Liye Dard Tujhe Seene Main Mehsos Hua
Jab Tere Baba Ne Khaincha Hai Wo Naiza Bahar
Aa Gaya Sath Main Akbar Ka Kaleja Bahar
Wa Akbara Wa Akbara
Ina Lilah Par Ke Wo Boli
Mere Ammon To Khair Se Hain Na
Unke Hote Huwe Mere Akbar
Or Asghar Ko Kisne Maar Diya
Unke Bazoo Khuda Salamat Rakh
Roz Karti Hon Nani Main Ye Duwa
Umme Salma Ne Kaha
Sughra Ab Uss Ke Liye Or Duwa Mat Mangon
Katt Gaye Hath Wo Dariya Ke Kinare Dhaikho
Teer Barsai Gaye Gair Ke Mara Usko
Kaise Bin Hath Wo Gore Se Gira Mat Puchho
Gurz Jab Mara Kisi Ne Wo Sambhal Na Paya
Munh Ke Bal Zeen Se Abbas Zameen Par Aya
Wa Abbasa Wa Abbasa
Hath Ankhon Pe Rakha Sughra
Or Gabhra Ke Boli Ae Nani
Dhaikhti Hon Hamare Khaimon Main
Le Ke Aye Hain Baba Aik Gadhri
Uss Main Kya Hai Btai Aap Muje
Kiyon Wo Gadhri Hai Khon Main Dubi
Umme Salma Ne Kaha
Sughra Uss Gadhri Main Qasim Ka Tere Lasha Hai
Uss Ka Ghodon Se Laeeno Ne Badan Ronda Hai
Khon Ki Mahndi Lagi Todron Mai Wo Bhikhra Hai
Chun Ke Baba Tera Khaimon Main Abhi Laya Hai
Farwa Uss Gathri Ke Ab Charon Taraf Gomti Hai
Mere Baite Ka Sirhana Hai Kaha Dhondhti Hai
Wa Qasima Wa Qasima
Aha Bhar Kar Ye Poochha Sughra Ne
Mere Tho Bhai Or Gaye The Wahan
Or Kabhra Raha Hai Dil Mera
Jab Se Thaikha Hai Maine Nani Jaan
Do Janazon Pe Ro Rahe Hain Sab
Or Khamoosh Hain Phuphi Amma
Umme Salma Ne Kaha
Hain Tere Aoun o Muhammad Ke Wo Lashe Sughra
Unn Ko Bhi Maar Diya Naher Kinare Pyasa
Bhai Par Kar Diya Zainab Ne Ye Keh Kar Sadqa
Ye Rahain Na Rahain Zinda Rahe Bhai Mera
Mar Gaye Aoun o Muhammad Ye Kaha Jab Sab Ne
Rona To Dhoor Hai Dhaikha Bhi Nahi Zainab Ne
Haye Aoun o Muhammad Haye Aoun o Muhammad
Peet Kar Sar Ye Bolin Phir Sughra
Ab To Bas Baba Reh Gaye Mere
Kya Chhupati Hain Aap Chadar Main
Khosboo Baba Ki Aarahi Hai Muje
Aasr Ka Waqt Ja Chuka Phir Bhi
Surgh Kiyon Hai Ye Asman Khoon Se
Umme Salma Ne Kaha
Sugra Mar Jaogi Ye Keh Ke Hatai Chadar
Umme Salma Ne Jab Aik Shishi Nikali Bahir
Dhaikha Jab Sugra Ne Uss Shishi Main Khak Or Lahu
Boli Uthi Aati Hai Baba Ke Lahu Ki Khushboo
Umme Salma Ne Kaha Mara Gaya Baba Tera
Tairaan Zarbon Se Sitam Gar Ne Gala Katt Diya
Haye Hussain Haye Hussain
Teer Barsaye Kisi Ne Usse Naiza Mara
Shimr Ne Khainch Ke Balon Se Tamacha Mara
Iss Liye Andiyan Chalti Hain Sunu Ae Meri Jan
Dasht Main Khak Urate Hain Rasool Allah Wahan
Sar Shikasta Hai Ali Bhi Hain Wahi Par Sughra
Aate Hain Zakhmi Jigar Le Ke Hassan Sabz Qaba
Shimr Sar Katta Tha Baith Ke Jab Seene Par
Sath Zainab Ke Sakina Ne Wo Dhaikha Manzar
Shab e Aashure Se Baithe Thi Tumhari Dadi
Saaf Balon Se Wo Karti Thi Zameen Maqtal Ki
Shimr Ne War Kiye Hath Rakha Zehra Ne
Dhaikha Zainab Ne Gira Khak Pe Jab Sar Kat Ke
Shimr Ke Hathon Main Ab Sar Hai Tere Baba Ka
Iss Liye Khon Barasta Hai Falak Se Sughra
Bola Farhan Se Zeeshan Tarapta Hai Dil
Waqt Tha Fatima Sughra Pe Wo Kitna Mushkil
Khon Jab Nani Ne Baba Ka Dhikhaya Hoga
Apna Ghar Sughra Ko Maqtal Main Nazar Aya Hoga
Social Plugin