Qul la asalukum 'alaihi ajran illa al-mawaddata fil-qurba
"I ask not of you any reward for it, save affection among kinsfolk (al-qurba).

Yeh izzat dar gharana hai
Yeh izzat dar gharana hai

Syed sardar gharana hai
Yeh izzat daar gharana hai

Malka hain Khadija (s) is ghar ki
Malik Hasanain (a.s) ka nana (s) hai
Yeh izzat dar gharana hai

Saari aayat-e-Qurani
Is ghar ki shaan mein utri hain
Yeh paak Muhammad (s) ka ghar hai
Yahan Fatima Zahra (s) rehti hain

Aawaaz yahan neeche rakhna
Aawaaz yahan neeche rakhna
Allah ka yeh farmaana hai
Yeh izzat dar gharana hai

Jo inka dushman hai us par
Allah bhi laanat karta hai
Is ghar mein rehne walon ka
Qur’an mein shajra likha hai

Kaaba karta hai salaam usko
Kaaba karta hai salaam usko
Is baat ko jisne maana hai
Yeh izzat dar gharana hai

Sardar farishton ka aakar
Is ghar mein jhulaata hai jhoola
Haan takht aur taaj ko thukra kar
Aayi hain kanizi mein Fizza (s)

Naukar jo bhi hai is ghar ka
Naukar jo bhi hai is ghar ka
Andaaz uska shahaanah hai
Yeh izzat dar gharana hai

Khaali nahi jaata koi bhi
Sab ke daaman bhar jaate
Jab rotiyaan baant’ti hain Zahra (s)
Yahan aasman waale aate hain

Batta hai tabarruk ki soorat
Batta hai tabarruk ki soorat
Is ghar ka jo bhi khaana hai
Yeh izzat dar gharana hai

Jis ghar par ho Ghazi (a.s) ka alam
Karti hain Fatima Zahra (s) karam
Hum log Husaini hain chhat par
Kyun na lehraayein yeh parcham

Yeh alam lagaane ka maqsad
Yeh alam lagaane ka maqsad
Duniya ko yeh batlaana hai
Yeh izzat dar gharana hai

Sadaqa yeh diya hai bachon ka
Bibi (s) ne apne naukar ko
Farhan inhi ki majlis ne
Zeeshan banaya hai ghar ko

Mera ghar koi aam nahi, is mein
Mera ghar koi aam nahi, is mein
Zahra (s) ka aana jaana hai
Yeh izzat dar gharana hai

Izzat jo badi thi to
Museebat bhi badi thi

Jo ghar tha Muhammad (s) ka
Wahan aag lagi thi


Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Jis dar pe Nabi (s) karte the salaam
Us darwaze ko jalaaya gaya

Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Kaabe mein zuhoor hua jiska
Masjid mein usko qatl kiya

Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Pehlu mein Nabi (s) ke jo tha pala
Wohi pehlu mein na dafan hua

Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Jise Khuld se kapde bheje gaye
Be kafan raha uska laasha

Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Jo ghar Kausar ka malik tha
Usay dasht mein pyaasa maar diya

Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Qaaim tha parda jinse unhein
Bazaar mein laya be parda

Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Hai jinke sadqe mein duniya
Hai un pe sadqa phenka gaya

Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Azaad karaye jo qaidi
Haaye woh gharana qaid hua

Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Yeh izzatdaar gharana hai
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi