Aa Mere Ghazi
Aa Mere Ghazi
Aa Mere Ghazi
Aa Mere Ghazi

Main Ho Gayi Be-Parda
Main Ho Gayi Be-Parda 

Aa Bazaar Aa  Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Aa Bazaar Aa  Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Sar Par Nahin Rida
Ghazi Tu Laut Aa

Aa Bazaar Aa  Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Aa Bazaar Aa  Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Balon Se Munh Jhupaaye
Chalti Hoon Sar Jhukaaye

Majma Ye Shaamiyon Ka
Mujhko Na Dekh Paaye

De Mujh Ko Hosla
Ghazi Tu Laut Aa (Mere Ghazi)

Aa Bazaar Aa  Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Aa Bazaar Aa  Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Sab Hans Rahe Hain Koi
Aata Nahin Bachane

De Har Qadam Par 
Khata Hai Taaziya Ne

Sajjad Ko Bacha
Ghazi Tu Laut Aa

Sar Par Nahin Rida 
Ghazi Tu Laut Aa

Aa Bazaar Aa  Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Har Ghar Se Garam Paani
Phanka Gaya Hai Hum Par

Kaantay Biche Hue Hain 
Bhai Qadam Qadam Par

Mushkil Hai Raasta
Ghazi Tu Laut Aa (Mere Ghazi)

Aa Bazaar Aa  Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Aa Bazaar Aa  Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Badla Liya Hai Sab Ne
Ghar Se Nikal Nikal Kar


Zainab Ko Shaamiyon Ne 
Maare Haan Itne Patthar

Sar Zakhmi Ho Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Sar Par Nahin Rida
Ghazi Tu Laut Aa

Aa Bazaar Aa  Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Baalon Se Jab Pakar Kar
Shimr-E-Laeen Ne Maara

Kahti Rahi Rahi Sakeena
Sar Dekh Kar Tumhara

Mar Jaaungi ***
Ghazi Tu Laut Aa (Mere Ghazi) 

Aa Bazaar Aa Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Aa Bazaar Aa Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Panjon Mein Chal Rahi Hai 
Kab Se Meri Sakeena

Baazu Mere Bandhe Hain 
Dam Ghooth Raha Hai Uska

Basti Mein Hai Gila
Ghazi Tu Laut Aa

Sar Par Nahin Rida
Ghazi Tu Laut Aa

Aa Bazaar Aa Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Amma Ki Tarah Mujhko
Ye Gham Bhi Hai Uthana

Mujhko Bhi Mere Bhai 
Darbaar Mein Hai Jaana

Zahra Ka Waasta
Ghazi Tu Laut Aa (Mere Ghazi)

Bazaar Aa Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Zeashan Kaise Likhe
Farhan Gham Ka Manzar

Ghairat Ke Badshah Ka 
Neeze Se Gir Gaya Sar
 
Zainab Ne Jab Kaha
Ghazi Tu Laut Aa

Sar Par Nahin Rida
Ghazi Tu Laut Aa

Aa Bazaar Aa  Gaya
Ghazi Tu Laut Aa

Aa Mere Ghazi
Aa Mere Ghazi
Aa Mere Ghazi
Aa Mere Ghazi