Ya Hussain Ya Hussain

Subhana Rabbi Al Aala

Khanjar Talay Hussain Yeh Detay Rahay Sadaa

Subhana Rabbi Al Aala

Asghar Ko Teray Naam Par Qurban Kar Diya
Gathri Mein Teray Wastay Qasim Utha Liya
Mainy Teri Azan Par Akbar Kiya Fida
Subhana Rabbi Al Aala

Subhana Rabbi Al Aala

Jis Dam Hussain Zeen Say Utray Zameen Par
Zakhmon Sy Choor Choor Thay Sibt E Nabi Magar
Pyasay Labon Py Jari Thi Tasbeeh E Kibriya
Subhana Rabbi Al Aala

Subhana Rabbi Al Aala

Kehta Hai Apnay Dill Mein Woh Parwardigar Say
Tha Yeh Kabhi Hamari Sakeena Kay Wastay
Ab Seenay Par Sawar Hai Qatil Agar To Kya
Subhana Rabbi Al Aala

Subhana Rabbi Al Aala

Bazu Tarhap Rahay Thay Kisi Kay Lab E Furaat
Hanstay Huye Jo Khooli Nay Mujh Par Uthaya Hath
Lekin Lab E Hussain Par Jari Hai Yeh Sada
Subhana Rabbi Al Aala


Subhana Rabbi Al Aala

Pyasay Ho Zibha Dasht Mein Aur Dekhen Bibiyan
Manzoor Yeh Tujhay Hai Agar Rab E Do Jahan
Razi Teri Riza Py Hai Zahra Ka Laadla
Subhana Rabbi Al Aala

Subhana Rabbi Al Aala

Detay Nahi Yeh Pani Jo Zahra Ky Chain Ko
Kya Dukh Hai Tu Nay Bakhsha Hai Kosar Hussain Ko
So Nao Pehar Ki Pyas Ka Shikwa Nahi Zara
Subhana Rabbi Al Aala

Subhana Rabbi Al Aala

Tukrhay Mery Misal E Alif Laam Meem Hon
Lut Jaye Mera Ghar Meray Bachay Yateem Hon
Har Haal Mein Kahay Ga Nawasa Rasool Ka
Subhana Rabbi Al Aala

Subhana Rabbi Al Aala

Nana Bhi Aye Hain Meray Baba Bhi Aye Hain
Madar Ko Meri Bhai Hasan Sath Laye Hain
Sad Shukar Surkh Roo Main Bazurgon Say Ho Gaya
Subhana Rabbi Al Aala

Subhana Rabbi Al Aala

Sheh Par Chali Jo Zarb Takallum Woh Akhri
Kat’ti Hui Ragon Ki Musalsal Sada Yeh Thi
Mainy Jo Tujh Sy Wada Kiya Tha Nibha Diya
Subhana Rabbi Al Aala

Subhana Rabbi Al Aala