Ali Ali Ali Ali Akbaram
Rahat E Jaan, Wird E Zaban
Saat E Azan, Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Aye Gul E Lailah Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Nujawan Ali Akbar

Aye Dil O Jaan E Pidar Shakl E Payambar Akbar
Aye Qarar E Dil E Zainab Gul E Madar Akbar
Misl E Abbas E Jari Sher E Dilawar Akbar
Yusuf E Fatima Zahra Dil E Haider Akbar
Husn E Zaman Akbar, Aye Naaz E Chaman Akbar
Aye Husn E Zaman Akbar, Aye Naaz E Chaman Akbar
Aye Gul E Lailah Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Nujawan Ali Akbar

Maula Shabbir Ne Maanga Hai Duaon Main Tumhe
Ghazi Abbas Ne Rakha Hai Panahon Main Tumhe
Mil Ke Do Maaon Ne Pala Hai Ridaon Main Tumhe
Rab E Akbar Ne Rakha Noori Hijaabon Main Tumhe
Naaz E Dil E Sarwar Aye Shabeeh E Paighambar
Aye Nauz E Dil E Sarwar Aye Shabeeh E Paighambar
Aye Gule Lailah Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Nujawan Ali Akbar
Rahat E Jaan, Wird E Zaban
Saat E Azan, Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Nujawan Ali Akbar

Bolain Laila Ke Gale Mujhko Lagate Jao
Bolain Zainab Mujhe Surat To Dikhate Jao
Bole Shabbir Meri Aas Bandhate Jao
Mujhko Nana Ki Ziyarat To Karate Jao
Haye Lahu Metar Ham Surat E Paighambar
Aye Gul E Lailah Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Nujawan Ali Akbar

Kaise Maqtal Tumhe Jaane Ki Ijazat De Dun
Kaise Khaimay Se Nikalne Ki Ijazat De Dun
Kaise Iss Pyas Me Larne Ki Ijazat De Dun
Maa Hun Kaise Tumhe Marne Ki Ijazat De Dun
Jaan E Dil E Madar Ye Maa Ho Fida Tum Par
Aye Jaan E Dil E Madar Ye Maa Ho Fida Tum Par
Aye Gule Lailah Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Nujawan Ali Akbar
Rahat E Jaan, Wird E Zaban
Saat E Azan, Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Nujawan Ali Akbar

Kha Ke Seene Pe Sina Zeen Se Akbar Jo Gira
Ho Gaya Khaimo Main Kohram Bapa Wawaila
Ye Sada Dasht Main Deta Tha Ghareeb E Zahra
Haye Akbar Mera Akbar Mera Akbar Na Raha
Noor E Nazar Akbar Aye Nauz E Pidar Akbar
Aye Noor E Nazar Akbar Aye Nauz E Pidar Akbar
Aye Gul E Lailah Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Nujawan Ali Akbar
Rahat E Jaan, Wird E Zaban
Saat E Azan, Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Nujawan Ali Akbar