Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina

Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwañ
Badhta Rahe Ye Karwañ.

Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina

Ye Karwan Hai Ahle Aza ka
Ye Karwan Hai Karbobala Ka
Sar Pe Alam Hai Shaahe Wafa Ka
Ye Silsila Hai Sabro Riza Ka

Jab Tak Ye Dum Ho
Maula Ka Gham Ho
Gham Ye Na Kam Ho
Har Aankh Nam Ho.

Mujhko Alam Ho Pasbañ
Chalta Rahe Ye Karwañ.

Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina

Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwañ
Badhta Rahe Ye Karwañ.

Is Karwan Ka Hussain Rahbar
Shamil Hain Is Me Shaikeñ Bahattar
Jinno Malak Bhi Chalte Hain Milkar
Shamil Hain Hum Bhi Adan Se Naukar

Bazme Aza Hai Raahe Wafa Hai
Sab Ki Sada Hai Sab Ki Dua Hai

Raushan Rahe Ye Kahkashaañ
Chalta Rahe Ye Karwan.

Ya Maula…
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina

Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwan
Badhta Rahe Ye Karwan.

Salam Tum Par Hussain Walo
Aye Aza Daaro Aye Ghamgusaaro
Ali o Zahra Ke Jaañ Nisaaro
Ishq e Nabi Ke Raushan Sitaaro

Aye Pursadaro Aye Sogwaaro
Ghazi Ke Pyaro Shah Ke Dularo

Tum Pe Khuda Ho Mehr-Baañ
Chalta Rahe Ye Karwan.

Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina

Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwañ
Badhta Rahe Ye Karwañ.

Hussain Maula Ka Qafila Hai
Majlis o Matam Ka Silsila Hai
Nabi Ke Ghar Ka Ye Tazkira Hai
Hussaiyat Ka Haami Khuda Hai

Ya Rasool Allah Ya Nabi Allah
Hum Sab Ke Aaqa Daaman Tumhara

Hussainiyon Ka Sayebañ
Chalta Rahe Ye Karwañ

Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina

Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwañ
Badhta Rahe Ye Karwañ.

Hussain Ka Gham Zinda Rahega
Matam Zamana Karta Rahega
Farshe Aza To Bichhta Rahega
Hussaini Parcham Ooñcha Rahega

Ye Azadari Ye Pursadari
Ghar Ghar Hai Jaari Giriya o Zaari

Muhakkuna Hai Do Jahañ
Chalta Rahe Ye Karwañ.

Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina

Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwañ
Badhta Rahe Ye Karwañ.

Kya Shaan Hogi Is Karwan Ki
Jab Honge Shamil Imam e Mehdi
Sharf e Ziyarat Hoga Hame Bhi
Matam Bhi Hoga, Majlis Bhi Hogi

Hum Deñge Pursa Karbo Bala Ka
Har Be-Khata Ka Har Be-Rida Ka

Maula Bhi Hoñge Darmayañ
Chalta Rahe Ye Karwañ .

Ya Maula….