Ye Kaun Hai Falak Sara Larazta Hay
Ye Kaun Hai Zameen Ka Dil Dharakta Hay
Alam Bardar Aata Hay

Ye Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay

Alam Thaame Hussaini Fauj Ka Saalaar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay
Ye Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay

Falak Sara Larazta Hai Zameen Ka Dil Dharakta Hay
Fazaan Me Shor Barpa Hai Adon Ka Dam Nikalta Hay
Jari Ye Kaun Aata Hai Alam Kis Ka Ubharta Hay
Yazidi Fauj Main Hal Chal Dilon Pe Khauf Chhaya Hay
Ye Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay

Jo Thi Karrar Ki Haibat Wohi Abbas Ki Haibat
Khuda Ke Sher Jaisi Hai Ali Ke Sher Ki Taqat
Wohi Chehra Wohi Sirat Wohi Jazba Wohi Jurrat
Abhi Aaya Nahi Lekin Adu Pe Chha Gayi Dehshat
Misaal E Lafatah Shabbir Ka Saalaar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay
Alam Thaame Hussaini Fauj Ka Saalaar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay

Abhi Ye Shoor Bharpa Tha Ke Gunja Haideri Nara
Missal E Lafatah Ghazi Achanak Samne Aaya
Mujhe Abbas Kehte Hain Jari Lalkar Kar Bola
Alamdar E Hussaini Hun Ghulam E Syed E Wala
Sada Deta Huwa Ye Ghazi E Jarar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay
Ye Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay

Yahan Tanha Dil E Haider Wahan Lakhon Jafa Pekar
Yahan Bas Khatme Neza Wahan Tegho Sina Khanjar
Yahan Sokha Hai Mashkiza Wahan Sairab Hay Lashkar
Yahan Shok E Shahadat Hai Wahan Shokeen E Maal O Zar
Mukabil Marhabo Ke Sahib E Kirdar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay
Alam Thaame Hussaini Fauj Ka Saalaar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay

Adu Se Chhen Kar Darya Alam Abbas Ne Garha
Yazidi Fooj Main Us Dam Achanak Shoor Ye Utha
Ary Bhago Tarai Se Ali Aaya Ali Aaya
Phir Us Ke Baad Darya Par Faqat Ghazi Nazar Aaya
Jafa Karon Main Ban KAr Mout Ki Lalkar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay
Ye Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay

Bhara Jis Waqt Mashkiza Bara Yaad Aayi Masuma
Liye Pani Suye Khaima Chala Saqqa Sakina Ka
Barha Jab Ghird Ghazi Ke Yazidi Fooj Ka Halka
Kaha Abbas Ne Dil Main Sakina Tum Na Ghabrana
Abhi Lekar Ye Mashkiza Tera Gham Khuar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay
Alam Thaame Hussaini Fauj Ka Saalaar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay

Alam Ghazi Dilawar Ka Jab Us Ke Khoon Main Duba
Burida Bazuon Wala Na Mashkiza Bacha Paya
Tarapta Khaak Par Dekha Jo Sheh Ne Bhai Ka Lasha
Wafa Ko Naaz Hai Tujh Par Pukare Syed E Wala
Khudaya Pass Ab Tere Mera Saalaar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay
Ye Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata Hay
Alam Bardar Aata Hay