Wawaila Haye Wawaila
Na Ja Akbar Na Ja
Khaimo Se Sadain Aati Hain
Akbar Ki Sawari Jati Hai

Khaimo Main Bata Hai Wawaila
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Na Ja Akbar Na Ja
Khaimo Se Sadain Aati Hain
Akbar Ki Sawari Jati Hai

Ham Shakle Peyambar Jata Hai
Dil Baap Ko Duba Jata Hai
Sar Peet Rahi Hain Ma Dukhiya
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Khaimo Main Bata Hai Wawaila
Akbar Ki Sawari Jati Hai

Atharan Baras Naazon Se Jise
Parwan Charhaya Zainab Ne
Gulshan Hai Ujra Zainab Ka
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Khaimo Main Bata Hai Wawaila
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Na Ja Akbar Na Ja
Khaimo Se Sadain Aati Hain
Akbar Ki Sawari Jati Hai

Kehti Thi Sakina Ro Ro Kar
Lotao Bhai Ali Akbar
Qadmo Se Lipti Masuma
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Khaimo Main Bata Hai Wawaila
Akbar Ki Sawari Jati Hai

Akbar Se Sakina Jab Lipti
Shabbir Ko Sughra Yaad Aayi
Use Kaise Batain Ye Baba
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Khaimo Main Bata Hai Wawaila
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Na Ja Akbar Na Ja
Khaimo Se Sadain Aati Hain
Akbar Ki Sawari Jati Hai

Kuch Dair Ruko Beta Akbar
Main Tum Ko Bana To Lun Dhula
Afsoos Na Ras Aaya Sehra
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Khaimo Main Bata Hai Wawaila
Akbar Ki Sawari Jati Hai

Teri Yaad Buhat Tarpaye Gi
Maa Jete Ji Mar Jaye Gi
Madar Ke Labon Par Hai Noha
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Khaimo Main Bata Hai Wawaila
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Na Ja Akbar Na Ja
Khaimo Se Sadain Aati Hain
Akbar Ki Sawari Jati Hai

Jao Akbar
Sheh Kehte Thy Jao Akbar
Mujhe Dekhte Rehna Murr Murr Kar
Deta Hai Sada Burha Baba
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Khaimo Main Bata Hai Wawaila
Akbar Ki Sawari Jati Hai
Na Ja Akbar Na Ja
Khaimo Se Sadain Aati Hain
Akbar Ki Sawari Jati Hai

Wawaila Haye Wawaila