Aye Logo'n Aao Tumko Batau'n Rehmat E Baari Tumko Dikhau'n Saare Jahaan Ka Hai Ek Sahara Ye Jo ALAM Mere Ghar Pe Laga Hai Ye Hai ALAM ABBAS KA Ye Hai ALAM ABBAS KA Ghum Se Nikaale, Mushkilein Taale Kaisa Wasila RAB Ne Diya Ye Hai ALAM ABBAS KA 1). Hum Ne Alam Jab Ghar Mein Sajaya, Ghar Mein Rakhe ZEHRA Ne Qadam Door Huye Sab Ranj O Masayeb, Phir Kaisi Mushkil Kaisa Ghum Daste Karam Hai, SHEH Ka Bharam Hai Jiska Koi Saani Na Mila 2). Ye Jo Bandhi Hai Mashk E SAKINA, Isko Kaho Taweez E Wafa Rishta Bhatiji Aur Chacha Ka, Aaj Talak Na Toot Saka Ek Kahani, Iski Zabani Sun Lo Agar Sunte Ho Sada 3). Dekho ALAM Ka Surkh Pharehra, Chadar E ZAINAB Se Hai Bana Jo Bhi ALAM Ke Saaye Mein Aya, Duniya Ke Sab Ghum Bhool Gaya Ab Jaake Mana, Sara Zamana Saya Fighan Ghar Ghar Pe Hua 4). Aisa ALAM Duniya Mein Dikhao, Jiski Ata Ho Rab Ki Ata Shaan E Azadari Ye Alam Hai, Dekho Azakhano Mein Zara Mannatain Puri, Karta Hai Sabki Zinda Hai Iske Dam Se Wafa Haan...... 5). HAMZA O JAFAR Ka Ye ALAM Hai, Hai Ye ALAM HAIDAR Ka ALAM Denge Gawahi SHAH E ZAMAN Bhi, Hai Ye Mere Lashkar Ka ALAM Baarwa (12wa) HAIDAR, KAABE Ki Chhat Par Lehra Ke Isko Dega Sada Hayee.... 6). Qatl Hua Jab Dariya Pe GHAZI, Toot Gayi MAULA Ki Kamar Laasha Nahi SHEH Laye JARI Ka, Laye ALAM Hi Khoon Mein Tar Beti Se Bole, SHABBIR Roke Aye Nahi Dariya Se Chacha 7). Karbobala Ke Dasht Ka Manzar, Kaise Likhu Rota Hai Qalam Bad E JARI Aulaad E PAYAMBAR, Nauhakuna Thi Zer E ALAM Baali SAKINA, Karti Thi Noha Saaye Mein Iske Aaye Qaza 8). Panja ALAM Ka MESUM O MAZHAR, Daste Karam ABBAS Ka Hai Paal Raha Hai Saare Jahan Ko, Ye Bhi Hasham Abbas Ka Hai Jisne Jo Manga, Usne Wo Paya Phir To Zamane Ko Kehna Para Ye Hai ALAM ABBAS KA Ye Hai ALAM ABBAS KA