HUSSAIN HUSSAIN HUSSAIN Labbaik Labbaik Labbaik Labbaik Imaa'n Ki Hararat Hai, Azadari E HUSSAIN Islaam Ki Hurmat Hai Azadari E HUSSAIN Insaan Ki Zarurat Hai Azadari E HUSSAIN ZAINAB Ki Amanat Hai Azadari E HUSSAIN Qadam Barhate Raho-HUSSAIN HUSSAIN ALAM Uthate Raho-HUSSAIN HUSSAIN Charagh E Ashk E Aza-HUSSAIN HUSSAIN Yuhi Jalaye Raho-Yuhi Jalaye Raho Na Andhiyo'n Se Daro Na Zalimo'n Se Daro Na Hadso'n Se Daro Na Mushkilo'n Se Daro ALAM Saja Ke Kaho Farsh E Ghum Bicha Ke Kaho ALI Ke Laal Se Ahd E Wafa Nibha Ke Kaho Tere Gharane Se Wafadari Rahegi MAULA Sada Teri Azadari Rahegi 1). Hum To Azal Se Hi Azadar Hain MAULA Majlis o Matam Ke Talabgar Hain MAULA Ankh Jo Duniya Mein Khuli Dekha Ye Manzar Ghar Mein Azakhana Sajati Hui Madar Wirsa Ye Mila HUSSAIN Ghum Sath Raha HUSSAIN Ye Ashk E Aza HUSSAIN Matam Ki Sada HUSSAIN Hashr Talak Ab Ye Talabgaari Rahegi MAULA Sada Teri Azadari Rahegi 2). Raaho'n Mein Julooso'n Ke Sabilain Bhi Lagayein Pani Bhi Azadaro Ko Sharbat Bhi Pilayein Har Saal Teri Hazri Duniya Ko Khilayein Bachcho Ko Teri Yad Mein Saqqa Bhi Banayein Khidmat E Aza HUSSAIN Hai Qarz Bara HUSSAIN Hai Azm E Wafa HUSSAIN Ho Sath Tera HUSSAIN Har Saal Muharram Ki Ye Tayyari Rahegi Maula Sada Teri Azadari Rahegi HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA 3). Ye Ahle Aza Shan E Aza Aise Barhayein Har Waqt Azadari Hai Bar Waqt Namzain Mumkin Hi Nahi Sajde Mein Jab Sar Ko Jhukayein Aye MAULA Hamain Sajde Tere Yad Na Ayein Matam Bhi Tera-HUSSAIN Sajda Bhi Tera-HUSSAIN Kaaba Bhi Tera-HUSSAIN Qibla Bhi Tera-HUSSAIN Sath Namazo'n Ke Aza Jari Rahegi MAULA Sada Teri Azadari Rahegi 4). Humne Wilayat Ka Jab Iqrar Kiya Tha Binte MOHAMMAD Se Kiya Tha Yahi Wada Apne Sabhi Ghum To Bhula Denge Magar Hum Bhool Nahi Sakte Kabhi Majlis O Matam Is Dil Ki Sada-HUSSAIN Dharkan Ne Kaha-HUSSAIN Seeno'n Mein Raha-HUSSAIN Saanso Mein Basa-HUSSAIN Saanso Mein Har Dam Ye Sada Jaari Rahegi. Maula Sada Teri Azadari Rahegi HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA 5). Humne Jo Bichhaya Hai Ye Farshe Aza Ka Hai Sajjad Ki Khwahish Hai ZAINAB Ki Tamanna Hai HUSSAIN... Ye Ashk E Aza Kya Hai Bakhshish Ka Wasila Hai Rumal Mein Zehra Ke Zeenat Ye Hi Banta Hai Ankho Se Ye Nehre Aza Jaari Rahegi MAULA Sada Teri Azadari Rahegi HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA 6) Tehzeeb E Azadari Sikhate Hain Azadar Bachcho Ko Alamdari Sikhate Hain Azadar Mimbar Se Wafadari Sikhate Hain Azadar Behno'n Ko Hayadari Sikhate Hain Azadar Naslo'n Mein Chale-HUSSAIN Ye Dars Tere-HUSSAIN Humne Jo Sune-HUSSAIN Humne Jo Diye-HUSSAIN Yuhi Dilo'n Par Teri Sardari Rahegi MAULA Sada Teri Azadari Rahegi 7). MAULA Ye TABOOT ALAM JHOOLA AMARI Pani Ki Sabilain Bhi Nishani Hai Tumhari Duldul Ka Julooso'n Mein Safar Ab Bhi Hai Jaari Kuch Or Nahi Bas Yahi Daulat Hai Hamari Nisbat Se Teri-HUSSAIN Qismat Ye Mili-HUSSAIN Bhoole Na Kabhi-HUSSAIN Ye Seena Zani-HUSSAIN Humne ALAM Paya Alamdari Rahegi MAULA Sada Teri Azadari Rahegi 8) MESUM O MAZHAR To Yahi Kehte Rahege MAULA Tere Ghum Ke Sabab Jeete Rahege Nauhe Teri Yad Mein Hum Parhte Rahege Ankh Se Ye Ashk E Aza Behte Rahege Bas Ye Hai Dua-HUSSAIN Aye Jo Qaza-HUSSAIN Ho Lab Pe Saja-HUSSAIN Ek Naam Tera-HUSSAIN Jaan Se Barh Kar Ye Hamain Pyari Rahegi MAULA Sada Teri Azadari Rahegi Tu Sabka Nigehbaan HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN Tu Natiq E QUR'AAN HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN Tu Deen Ki Pehchan HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN ZEHRA Ka Dil O Jaan HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN JAAN HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN Tu Sabr Ki Deewar HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN Tu Zabt Ki Talwar HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN Tu Kufr Pe Yalghar HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN Tu Bar Sare Paikaar HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN