karbala se yehi aa rahi hai sada
al-ajal al-ajal warise karbala
ya mehdi ya mehdi....

laashe shabbir par jo giraye gaye
mai wo pathar hoo kab se sambhale hue
de inhi patharo se tu unko saza
ya mehdi ya mehdi....

maa ki nazrein na dekhen yehi soch kar
seena apna chupaye hue hai magar
zakhm dikhlayega tujhko akbar tera
ya mehdi ya mehdi....

inteqam aake zainab ki chadar ka le
sar se pehle tu us haath ko kaat de
binte zehra ki jisne rida ko chuva
ya mehdi ya mehdi....

ek ziyarat chupaye hue hoo abhi
tumko dikhlaungi aaoge jis ghadi
khoon sakina ka jo khaak par tha gira
ya mehdi ya mehdi....

sar juda tan juda dono baazu juda
phir bhi ghazi ko arman hai jang ka
haath uthaye bina de raha hai sada
ya mehdi ya mehdi....

saath khaimo ke har ek sheh jal gayi
zulm bhi thak gaya aag bhi bujh gayi
jal raha hai magar ab bhi seena mera
ya mehdi ya mehdi....

har azadar ye kar raha hai dua
aisa ashoor ho ab ke akbar bapa
karbala may milay warise karbala
ya mehdi ya mehdi....