Us Waqt Jab Ky Zainab Darbar Mein Gai Thi
Qari Namazion Sy Mehfil Saji Hui Thi
Zalim Yeh Poochta Tha Ghazi Tera Kahan Hai
Aur Balon Sy Munh Chupaye Zainab Yeh Keh Rahi Thi

Aey Mere Baba Jaan Ho Rahi Hai Azaan Sar Chupaun Kahan

Majmaye Aam Mein Baba Jaan
Bey Watan Bey Amaan Baba Jaan
Aa Gaya Karwaan

Aey Mere Baba Jaan Ho Rahi Hai Azaan Sar Chupaun Kahan

Main Bhi Hun Marziya Binte Khairun Nisa
Mery Lehjy Mein Hai Baba Teri Adaa
Naam Zainab Mera Tu Ny Jo Rakh Diya
Dy Di Apni Zubaan

Aey Mere Baba Jaan Ho Rahi Hai Azaan Sar Chupaun Kahan

Baba Jaan Main Rida Mangti Reh Gai
Bam O Dar Saj Gaye Jeety Jee Mar Gayi
Halqa E Sham Mein Naam Sun Kar Mera
Mar Gaya Natawan

Aey Mere Baba Jaan Ho Rahi Hai Azaan Sar Chupaun Kahan

Ruk Na Paya Mery Bawafa Ka Woh Sar
Nok E Naiza Sy Aany Laga Khak Par
Behn Ko Dar Badar Dekh Kar Nangy Sar
Seh Na Paya Jawan


 
Aey Mere Baba Jaan Ho Rahi Hai Azaan Sar Chupaun Kahan

Kal Thi Maan Aaj Main Bhi Darbar Mein
Misl E Zahra Kharhi Hun Main Aghiaar
Us Taraf Hain Shaqi Is Taraf Reh Gai
Bey Padar Betian

Aey Mere Baba Jaan Ho Rahi Hai Azaan Sar Chupaun Kahan

Sham E Ashoor Sy Sham Koofa Talak
Mainy Manga Nahi Khiraj E Fidak
Meri Chadar Sy Hai Meri Maan Ka Sukoon
Sun Ly Zaalim Jahan

Aey Mere Baba Jaan Ho Rahi Hai Azaan Sar Chupaun Kahan

Hath Kaanon Py Hain Neel Gaalon Py Hain
Aur Nishan Jo Sakina Ky Shanon Py Hain
Har Nishan Sy Yehi Aa Rahi Hai Sada
Baba Jaan Baba Jaan

Aey Mere Baba Jaan Ho Rahi Hai Azaan Sar Chupaun Kahan

Aisa Khutba Diya Mainy Darbar Mein
Likh Raha Hai Jo Yawar Tery Pyar Mein
Lehr Hai Ehd Ki Har Aza Ky Liye
Hai Sada E Azaan

Allah Akbar