●● NOHA LYRICS ● ● ●Hayee Ali,Hayee Ali, Hayee Ali, Hayee Ali ●Fajar unisween ramzan ki tarpati hai Fatima zehra ki jis waqt sadaa ati hai ●Aa dekh le Zainab,tera zakhmi Baba,ghar loat ke ayaa hai ●Kandho pe uthai,yun bete hain laaye,lagta hai janaza hai Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai ●Mushkil se safar yeh te hai Kiya,jaari hai lahoo ka darya Masjid se ghar tak,har ik qadam per,beton ne sambhala hai Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai ●Halat hee ajab hai baba ki pehchanna mushkil hoga Zehra ki garibi,yaad aye gi Bibi,tar khoon mai chehra hai Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai ●Jirah se hujre ke bahir jab haal hassan ne pucha Wo ro ke pukara,mushkil hua jeena,yeh zakham hee aesa hai Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai ●Ab sham e gariban mai tum ko,yeh chehra nazar ayega Ae sani e zehra,kuch roz ka mehman,ab ap ka baba hai Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai ●Yeh shana hila ker kehti hain Abbas jari ki madar Bibi uth jao,ashkon ko chupao,Baba ne bulaya hai Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai ●Qadmon mai gir ke zainab ke,ghazi ki behan yeh boli Baba ko bachalo,sadqe mujhe kardo,hazir yeh ruqaiyya hai Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai ●Ik Roz akaile aana hai,is shehar mai tujh ko Bibi Kiya hoga najane,shehzadi abhi se,badla hua kufa hai Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai ●Shabbar ka jigar, Shabbir ka sar, Abbas jari ka bazoo Katte dekhogi,ae baba ki piyari,yeh zakhm to pehla hai Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai ●Yeh keh ke taqallum beti se,khamosh hui the maula Darbar ke dar per,mai aoga milne,zainab mera waada hai Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai