Mazloome karbala se mera salam kehna

As salam o alaika ya aba abdillah

As salam o alaika yabna rasulillah

Karbal ke jane wale jab karbala pahuchna mazlume karbala se mera salam kehna x 2

Kehna ke mere dil me

Bus itni arzu hai

Maula tumhare dar par

Aane ki justuju hai

Tum ho imame aali

Aur mai hu ek sawali

Aka tumhare dar se

Koi fira na khaali

Kabse pukarta hu

Dedo mujhe sahara

Har simt behre ghum hai

Milta nahi kinara

Karbal ke jane wale jab karbala pahuchna

Mazlume karbala se mera salam kehna

Is dehre bewafa me

Beyaaro benisha hu

Bezaar zindagi hu

Begaanae jahaan hu

Armaan kuch nahi hai

Bus ek dua hai lab par

Sab hasrate bhula kar

Aankho me ashq bhar kar

Faryaad kar raha hai

Ek ranjo gam ka maara

Ehle aza hu mai bhi

Ghumkhwaar hu tumhaara

Karbal ke jane wale jab karbala pahuchna

Mazlume karbala se mera salam kehna

Apna hai kaun kisko

Mai haale ghum sunaau

Hu mustarif kaha se

Taskeene kalb laau

Bechain ho raha hu

Mujhko karaar dedo

Ashko ke waste se

Ghum ki bahar dedo

Gham aakhri ho mera

Maidaane karbala me

So jaau rote rote

Gehra rahe kaza me

Karbal ke jane wale jab karbala pahuchna

Mazlume karbala se mera salam kehna

Roze ki jaliyo se

Karna dua lipatkar

Rakh dena thokaro me

Unki mera muqaddar

Jis waqt multaji ho

Tu shahe do jahan se

Us waqt meri haajat

Likh le teri zabaan se

Sabke naseeb me ho

Haasil teri dua ka

Karbobala hai markaz har sahibe aza ka

Karbal ke jane wale jab karbala pahuchna

Mazlume karbala se mera salam kehna

Shehre musafirane

Rahe khuda wahi hai

Yasrab se jo gaya tha

Woh kafila wahi hai

Jaan deke kar gae wo

Nusrat shahe huda ki

Kabre hai us zamin me

Ansare bawafa ki

Karna hai pesh tujhko

Har bekafan ka pursa

Paamaale zulme aada ibne hasan ka pursa

Karbal ke jane wale jab karbala pahuchna

Mazlume karbala se mera salam kehna

Sahil pe alkama ke

Bhai zarur jana

Abbas bawafa ka

Pursa wahi pe dena

Fir sue kabre akbar

Jana bade adab se

Milti thi jiski surat

Shakle shahe arab se

Zainab ke ladlo ka

Pursa zarur dena

Tar apne ansuo se

Asgar ki kabr karna

Karbal ke jane wale jab karbala pahuchna

Mazlume karbala se mera salam kehna

Maqtal se karbala ki

Khake shifa utha ke

Ek maa ko pursa dena

Furde nasheb jake

Usdam nazar me hoga

Aashur ka jo manzar

Behal ranjo gam se

Khudko wahi girakar

Khidmat me sayyada ki

Zaro kataar rona

Unka shareeke maatam meri taraf se hona

Karbal ke jane wale jab karbala pahuchna

Mazlume karbala se mera salam kehna

Har pal tere safar ka

Ab kamyab hoga

Jo kaam tu karega

Kaare sawaab hoga

Aakhir me dastbasta

Ek ilteja hai meri

Ai karbala ke zaaer

Jab wapsi ho teri

Us waqt yaad rakhna

Hargiz na bhul jana

Mera kafan waha se

Lekar zarur aana

Karbal ke jane wale jab karbala pahuchna

Mazlume karbala se mera salam kehna

Us din ke muntazir hai

Kabse kalimo meesum

Karbobala pahuchkar

Yeh bhi kare muharram

Seene pe daste matam

Ashko se ankh tar ho

Ehsase ghum ki had se

Har saas ka guzar ho

Nauha zabaan par ho

Mazlume karbala ka

Sad hai waa shahida

Sad hai waa hussainaa

Karbal ke jane wale jab karbala pahuchna

Mazlume karbala se mera salam kehna

As salam o alaika ya aba abdillah

As salam o alaika yabna rasulillah