●ghareeb zehra ki gurbat suno aey ahle aza
ghareeb zehra ki gurbat suno aey ahle aza

●Akaila Reh Gaya Maqtal Main Jab Maira Mola
Sipah e Sham Nay Charo Taraf Say Ghair Liya
Lab e Furat Har Ek Taraf Khoon Ka Piyasa
Tha Gul Charag e Imamat Abhi Bhujana Hai
Arey Zameen Pay Zeen Say Shabbir Ko Girana Hai

●Yeh Sun Kay Sang Kisi Nay Jabeen Par Mara
Kisi Nay Pehlu Main Barchi Ka Phal Utar Diya
Arey Kisi Nay Samnay Akar Chalai Taig e Jafa
Ghareeb e Zehra Ka Zeen Par Sambhalna Mushkil Tha
Ali o Zehra Ko Ran Main Rulaya Jata Tha
Arey Hussain Girtay Nahi Thay Giraya Jata Tha

●laga Jo Teer To Asghar Ko Sheh Nay Yad Kiya
Pukara Ghazi Ko Jis Waqt Sar Pay Gurz Laga
Lagi Jo Barchi to Akbar Ko Di Tarap Kay Sada
Tamacha Kholi Nay Mara To Bolay Ya Zahra
Ali Ko Yad Kiya Sar Pay Zarb Chaltay Huwai
Hasan Ko Yad Kiya Mun Ny Khoon Ughaltay Huwai

●Zameen Say Zeen Pay Hazrat Jo Mun Kay Bal Aye
Jo Teer Seenay Main Thay Woh Pust Say Nikal Aye
Nikal Say Pehlu Say Sab Barchion Kay Phal Aye
Karar Kis Tarah Ab Sheh Ko Ek Pal Aye
Raqab Pairon Say Ibn Ali Ki Chut Gayi
Tamam Pasliyan Sibt e Nabi Ki Toot Gayi

●Raqam Kiya Hai Yeh Ravi Nay Dard Ka Manzar
Kay Chalnay Wala Tha Jis Dum Hussain Pay Khanjer
Arey Bhan Say Agai Khari Thi Hussain Ki Dukhtar
Kaha Yeh Shimr Say Us Dam Gahreeb Say Rokar
Meri Sakina Kahi Dum Na Tor Dai Zalim
Raham Kar Mairay Baalo Ko Chor Dai Zalim

●Para Tha Bai Jan Dasht Main Batool Ka Beta
Hussain Zinda Hai Kiya Shimr Say Kisi Nay Kaha
Qareeb Ja Kay Yeh Shimr Nay Di Has Kay Sada
Arey Woh Daikho Agayi Maqtal Main Sani e Zehra
Yeh Suntay hi Shah e Dilgheer Uth Kay Bhaith Gaye
Bahan Kay Naam Pay Shabbir Uth Kay Bhaith Gaye

●Yeh Keh Kay Agai Barha Hath Main Liye Khanjer
Udhar Tarapnay Lagi Ek Lash Darya Par
Idhar Khayam Say Nikli Batool Ki Dukhter
Ajeeb Bai Adabi Yeh Shimr Nay Ki Akar
Arey Zara Si Bhi Na Murawat Dhikhai Zalim Nay
Kalam e Pak Ko Thokar Lagayi Zalim Nay