Abbas , 
Abbas , 
Abbas

Beta Hay Tu Ali Ka, Zahra Ki Tu Dua Hay
Shabbir Tera Aaqa, Ummul Baneen Maa Hay
Her Sorat O Chalan May Haider Say Na Juda Hay
Taa Hashar Tujh Say Qaim Duniya May Bas Wafa Hay

Dil Ki Muraden Ghazi Tere Alam Say Paayen 
Roti Hui Jo Maaen Tere Alam Pay Aayen
Zahra Kay Dard E Pahlu Ka Deti Hay Wasta 
Fizza Ki Kaneezi May Inka Bhi Naam Aye

Tere Alam Ko Thaamey Her Shaks Kah Raha Hay
Mazloom E Karbala Ka Zainab Ka Wasta Hay
Pardesi Koi Aesa Pardes May Na Ujhrey 
Sadqay May Uskey Jiska Ghar Bhaar Lut Gaya Hay

Haey, Taqdeer Kay Sataey Tere Dar Pey Sir Jhukayen 
Ashkon Ki Elteja Hum Ghazi Tujhe Sunayen
Bemaar Sarba'an Kay Zakhmo Ka Wasta Hay
Jitney Bhi Khasta Dil Hain Maula Shifaa Wo Payen

Her Laash Per Ali Ko Kerty Thay Yaad Sarwer
Lekin Uthaney Aye Jis Waqkt Laash E Akber
Haey, Baba Ki Be-Kasi Per Rota Tha Nu-Jawan Bhi
Shabbir Nay Kaha Ju Barchi Pey Haath Rakh Ker

Haey Abbas,
Khanjer Galay Pey Jis Dam Bhai Kay Chal Raha Tha'
70 Qadam Say Manzer Zainab Nay Khud Yeh Dekha
Haey, Jab Shimmr Maarta Tha Gardan Pey Sheh Kay Khanjer
Her Zarb Per Tarap Ker Kehti Thi Bint E Zahra

Haey, Sarwar Ki Laadli Ka Ik Tu Hi Tha Sahara
Paani Kisi Say Us Ney Maanga Nahi Dobara 
Haey Jab Koi Marta Tha Rukhsaar Per Tamachay
Baba Say Bhi Ziyada Us Ney Tujhe Pukara

Haey Abbas
Us Waqkt Jab Key Zainab Darbar May Gae Thi 
Qaari Namaziyun Say Mehfil Saji Hui Thi
Haey Zaalim Yeh Pochta Ghazi Tera Kahan Hay
Balo'on Say Mu Chupaye Zainab Yeh Keh Rahi Thi

Shaam E Ghariban May Jis Ka Kurta Jal Gaya Hay
Kaano Say Baaliya'n Bhi Haey Shimmr Lay Gaya Hay
Is Be-Kasi Say Maula Bachi Koi Na Tarsey
Farsh E Aza Pey Ro Kar Her Dil Yeh Kah Raha Hay

Jitney Bhi Ashk Maula Kirtaas Per Giray Hain
Masooma Ki Kasam Yeh Ghazi Faqat Tere Hain
Wo Kuch Raqam Karon Main Ju Na Raqam Hua Hay
Alfaaz Wo Ataa Kar Yawar Say Ju Parhe Hain