●Karbala chalo karbala chalo karbala chalo

●Karbala karbala karbala karbala
Allahum razaqna ziyarat al Hussain

●Karbala chalo karbala chalo karbala chalo
Karbala chalo karbala chalo karbala chalo
Lo agaya bulawa,mazloom karbala ka

●Maa muntazir hai bete ke ghamkhuwar ayenge
Aakar mere Hussain per ansu bahainge 
Bint e rasool takti hai tum sub ka rasta

●Zehra ka laal qabar mai hasrat yeh le gaya
Akber ka qalma goyon ne pursa nahi diya
Ab sheh ko pursa dena hai karyal jawan ka

●Jee bhar ke apne bhai ko Zainab na ro saki
Majlis zameen e karb o bala par na ho saki
Armaan Sayyeda mai bichane saf aza

●Khanjar tale Hussain ki aahein gawah hain
Hal min mugisuna ki sadain gawah hain
Kab se hamain bulata hai zehra ka ladla

●Jis khaak ne chupaya tha bint e Ali ka sar
Jis ne kafan banaya tha lashe Hussain per
Is karbala ki khaak ka karne ko shukriya

●Bazoo kata ke jis jaga Abbas sogaye
Armaan ba Wafa ke jahan dafan ho gaye
Ansoo wahan girain ge pani jahan gira

●Qismat se waqt aye ga jab yeh hayat mai
Tum apni betiyon ko bhi,le jana sath mai
Akber ko wo sunaigi,Sughra ka marsia

●Ik saal bad bhai ka sar jis ghari mila
Abid se ro kay kehti thi yeh bint e Sayyeda
Dafnao gi mai hathon se,sar apne bhai ka

●Chelum bhi apne baap ka bachi na kar saki
Roti hui wo shaam ke zindan mai mar gayi
Aye kash koi keh de Sakina se yeh zaban

●Is saal arbaeen pe aesa ho ahtemam
Aye kash zairon mai ho shamil hamara naam
Aur de hamain bhi hazrat Abbas yeh sadaa

●Gurbat musafiron ki musafir samajh sakain
Kese chali thi bibiyan andaza ho hamain
Ansu bahate shehr e Najaf se pyada pa

●Chelum ko jaise aati hai Zainab bhi sham se
Azn e safar mile jo taqalum imam se 
Har ik qadam zahoor ki karte hui dua