Ay Alamdar e Wafa, Ay Alamdar e Wafa
Ay Baab e Hawaij

Kehti he azadar ke ashkon ki rawani
Matam ki he awaaz tapakta huwa paani

Hai teri wafaon ki ajab ghazi kahani
Bachpan pe Sakina ke fida kar di jawani

1. Abbas kabhi kuch bhi nahi maanga he tum ne
Jab mashq chhidi tumne dua maangi ye Rab se
Aa jaye iss waqt agar maut he aani
He teri wafaon ki ajab ghazi kahani

2. Sarwar ne kaha jang nahi karni he bhayya
Yun hukm pe Shabbir ke sar tum ne jhukaya
Aati hi nahi jayse tumhe tegh chalaani
He teri wafaon ki ajab ghazi kahani

3. Bhai ko sada aaqa kaha bhai na bola
Bachpan me yahi wada to madar se kiya tha
Har baat ghulamon ki tarha bhai ki maani
He teri wafaon ki ajab ghazi kahani

4. Hairaan wafa ho gayi, jab dekha ye manzar
Tum pyaase palat aaye ho darya me utar kar
Asaan thi jis waqt bohut pyaas bujhaani
He teri wafaon ki ajab ghazi kahani

5. Sar aap ka rehwar ke gaysu me bandha tha
Neze pe bulandi bhi nahi tujh ko gawara
Sar Shah ke aage na uthaane ki he thhaani
He teri wafaon ki ajab ghazi kahani

6. Hain Arsalan o Mesum ye soch ke rote
Zakhmo se lahu aysa baha ghazi tumhare
Jis tarha baha mashk e Sakina se tha pani
He teri wafaon ki ajab ghazi kahani