Haay ..
ae rone walo hai yeh riwayat me likha
jis dam qayam koofe me mukhtar ne kiya
jo bhi the qatilane shaheedane karbala
re unme se koi jab bhi gireftar hota tha
hukme ameer par wo sitam jab sunata tha
mukhtar sar ko peetke bus rota jaata tha

haay..
ek roz tha ye koofe ke darbaar ka sama
ibne numair apne sitam karta tha bayaa
todi thi maine sinae akbar me khud sina
uthta tha shor khaimo se maara gaya jawaa
maa jiteji guzar gai, zainab bhi margai
ek barchi mere kitne jigar paar kargai

haay..
ek roz karke laaya gaya hurmala aseer
bola wo ran me maine chalaye the teen teer
us waqt pehla teer chalaya tha ae ameer
bhar kar chala jo mashk toh mazloom ka safeer
mashkeeze se jo teer mera paar hogaya
aisa laga ke qatl alamdar hogaya

haay..
bola laee ye karb ka hai dusra maqaam
laaye jo apni god me besheer ko imaam
sukhi zaba phirata tha hoto pe tishnakaam
yu qat'a ibne zahra ka maine kiya kalam
hil hil gaya lahad me jigar buturab ka
are maqtal me neher hogaya bacha rabab ka

haay..
darbar me ye sunke qayamat ka tha samaa
are peero jawaan rote the lele ke hichkiya
bola ye hurmula abhi baaqi hai dastaa
jis dam tera husain tha teero ke darmiyaa
wo teer aakhri tha jo maine chalaya tha
arey us teer ne husain ko zee se giraya tha

haay..
phir shor wa husaina ka uthta tha baar baar
jab qaid karke laya gaya shimre bad sheyaar
bola wo mere haath me khanjar tha tez dhaar
jisse kiye husain ki gardan pe tera(13) waar
khanjar rawa tha halq pe ibne batool ke
dil kat rahe the saath me aale rasool ke

haay..
ab iske baad meer takallum baya ho kya
ae pursadaro sochna dil me kabhi zara
kyu itna waqt qatile shabbir ko laga
kis waste husain ka katta na tha gala
mehsher me ye khulega sitam kaynaat par
khanjar ke kuch nishaan hai zahra ke haath par