Haye abbas haye Abbas..(8)

Rasan me haath bandhe hai
Bahen hai be parda
Sina se sar na girae to kya kare abbas
Haye Abbas hay hay abbas hayy hayy abbas hayy hayy abbas

Rasan me hath....

Padar ki laash se usko chudaya jata hai
Sitam hai naake pe Tanha bithaya Jata hai
Rasan me baali sakina ka bandh raha hai gala
Sina se sar na girae to kya kare Abbas

Wo Kis tarha se tasalli de aake madar ko
Kiya hai dasht me do baar zibha asghar ko
Lehed se aagaya naize pe jism asghar ka
Sina se sar na girae to kya kare Abbas

Chupa ke Bano se mu sharm saar hoti hai
Wo pusht naaqa pe ab khud sarwar hoti hai
Ye Kesa waqt hai Zahra ki betiyo pe pada
Sina se sar na girae to kya kare Abbas

Dhyaan lashae shabbir se hatana tha
Dobara sayyade sajjad ko bachana tha
Giri hai naaqe se maqtal me saniye Zahra
Sina se sar na girae to kya kare Abbas

Kahi pe kasimo akbar Kahi pe aun ka sar
Kahi hai laal roqaiya ke aur Kahi asghar
Wo bache naize pe hai jinko god me paala
Sina se sar na girae to kya kare Abbas

Hai neel chehrw pe itne tamache mare hai
Laee ne khaich ke kano se durr utare hai
Ke dino kaano se masoom ke lahu behta
Sar uska kese Sina par Koi uthake chale
Jo sheh ke saamne nazre sada jhuka ke chale
Takaza meer takallum hai uski ghairat ka