Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

Har nafas har ghadi, mere dil se yahi
aa rahi hai sadaa..
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

1. Teri azmat pe bhala kyu na dalaalat banta
sher qaleen ka kis tarha na zinda hota
hai haqeeqat yahi, teri marzi me hi, hai khuda ki raza
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

2. Ghair mumkin ko yu hote hue dekha mumkin
jaagti ankho se jannat me guzare kai din
usko kya ho yaqee, jisne dekha nahi, kabhi roza tera

3. Rabt kesa ye mere zehn me aaya hai abhi
jaise gehware ne fitrus ko shifa baati thi
wese hi rozo shab, baat ta hai shifa, tera sehne shifa
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

4. Ab ke mash'had se jo palta hu to mere mohsin
saans lena mujhe acha nahi lagta lekin
fir bhi hai ye suku, mai kahi bhi rahu, dil wahi hai mera
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

5. Kese samjhega zamana tere naukar ki hade
tere maroof ne bandhe hai samandar ki hade
badhte toofan ka, rukh badalta gaya, usne jab di sada
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

6. Puchne haal nakeerain jab aae mera
maine dohraya jawaban jo qaseeda tera
wajd me aake fir, wo bhi kehne lage, mai bhi kehne laga
Ya saree ar-riza..(4)

7. Meri is waqt tere darr pe nazar hai maula
aur tujhe meri musibat ki khabar hai maula
dur uftaad kar, meri imdaad kar, tu hai mushkil kusha
Ya saree ar-riza..(4)

8. Ilteja aap se karta hu imam e hashtum
unke sadqe me jinhe kehte hai masuma e qum
jo pareshan hai, jald kardijiye, uski hajat rawa
Ya saree ar-riza..(4)

9. Jiteji jaan se apni mai guzar jaunga
jald mash'had na bulaoge to mar jaunga
ae imam e ghareeb, tum ho mere tabeeb, jald kar do dawa
Ya saree ar-riza..(4)

10. Apne is meer ko anmol banade maula
mujhko is daur ka behlol banade maula
mai azadar hu, nakhsh bardar hu, tere khuddam ka
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)