[Chhed diya hai zikr e maula
mimbar jaane haider jaane]..(2)

kufr hai gar ye ishq ali ka
kafar jaane haider jaane

1. Binte asad to jaengi har haal me kaabe ke andar..(2)
darr hogi deewar kaha se
maadar jaane haider jaane

2. Ismaeel ye soch rahe the
kyu gardan par haath rakhu
naam e ali hai mere labo par
khanjar jaane haider jaane

3. Fatha likhi hai daste khuda par ab bhi mere pyaare habeeb..(2)
naade aliyan kehke bulale
khaiber jaane haider jaane

4. Aarefa e aijaz e ali hai
maadar hai ummat to nahi
bint e asad ko fikr nahi hai
ajdar jaane haider jaane

5. Jung e ohod me mera maula shaakh se sar karta hai qalam..(2)
tegh falak se aae na aae
lashkar jaane haider jaane

6. Ishq e ali ke dawe daro
rabb ki ibadat lazim hai
ye keh kar mat jaan chhudao
mehshar jaane haider jaane

7. Sher e khuda ka pota hai ye kehkar maa ne bhej diya..(2)
ladta hai ab kese rann me
asghar jaane haider jaane

8. Shaam me aur meraj nabi me
ek hi lehja goya tha
kisne rakha hai kiska parda
dukhtar jaane haider jaane

9. Mir hasan aur sibt e jafar
banda e haider hai dono
inke kafan par likhwa dena
naukar jaane haider jaane