Suno zehra ke ehsaan suno
Raaziya...Marziya..
Umme abeeha.. Fatima zehra.. Fatima zehra

Zahra teri jageer hai jannat bhi fidak bhi
Ye jabl, ye asjaar, ye paani bhi falak bhi
shauhar ki taraf se hai ghulami mein malak bhi
bibi tere haq mehr mein shamil hai namak bhi
bus tere zameeno pe basi jaati hai duniya
sadiyo se faqat tera namak khati hai duniya

Suno zehra ke ehsaan suno, suno zehra ke ehsaan

Iske ghar mein hi to chadha hai..(2)
deene nabi parwaan
Suno zehra ke ehsaan suno

Khush hota hai khaliq e akbar
sunke midhat zahra ki
Hafiz e qur'aa'n tu kya jaane
kya hai azmat zehra ki
khud qur'aan ne inse seekha..(2)
hai padhna qur'aan

Suno zehra ke ehsaan suno

Zere kisa jab noor ke har
mansab ka ta'rruf hota hai
tab khaliq bhi fatima zehra
ka hi sahara leta hai
noor ke har mansab ki hai goya..(2)
zehra se pehchaan

Suno zehra ke ehsaan suno

Apne ho wo ya ke paraye
sab ne baat ye maani hai
zehra ke beto ne kal bhi
deen ki keen girani hai
aaj bhi zehra ka ek beta..(2)
deen ka hai nigraan

Suno zehra ke ehsaan suno

Bibi khadija ne kal tak
tum sabke bado ko pala tha
aaj ke kalma goyo tumko
paalne wali hai zehra
baaghe fidak ke darr par jaakar..(2)
kehta tha salmaan

Suno zehra ke ehsaan suno

Rehmat e alam ki beti thi
isliiye khud ko rok liya
ghaiz mein gar aajati logo
shere ilaahi ki zauja
ek lamhe mein shehr e madina..(2)
ban jaata shamshaan

Suno zehra ke ehsaan suno

Ae najraan ke rehne walo
eesa ke kalma goyo
tum maidan mein aaj usi
bibi ke muqabil mein aaye ho
maryam ko khairat mein jisne..(2)
ismat ki hai daan

Suno zehra ke ehsaan suno

Bait e khuda weeran pada tha
logo ek zamane se
jaan faqat isme aayi hai
mere ali ke aane se
aur ali ke ghar ko bakhshi..(2)
hai zehra ne jaan

Suno zehra ke ehsaan suno

Mujhko yehi lagta hai akbar
hashr ka din jab aayega
khatt ek khaliq e akbar ki
janib se sunaya jayega
rabb ke us noorani khatt ka..(2)
hoga yehi unwaan
Suno zehra ke ehsaan suno, suno zehra ke ehsaan