Sajda ek aisa karbobala me adaa hua..(2)
jiske sabab hai khana e kaaba bacha hua

1. Is baat ke gawaah shah e mursaleen hai
jis khaak ke khameer se yusuf haseen hai
us me husain ka hai paseena mila hua

2. Heere pade the kaanch ke tukdo ke saath saath
zehra ne chun liye hai ye kehkar jawaherat
in aasuo pe naam hai mera likha hua

3. Jaisa diya hai wesa hi fanoos chahiye
jannat ke shahzade ko malboos chahiye
rizwaan laao arsh se kurta sila hua

4. Darwaza e ali ke namak khaar aagae
jannat me shahe deen ke azadar aagae
sach hogaya husain ki maa ka kaha hua

5. Pushte nabi pe aaj imamat ka naaz hai
waed mujhe bata ke ye kaisi namaaz hai
kis waaste nabi ka hai sajda ruka hua

6. Wo bhi hai ek sipahi husaini sipah ka
karta hu ehteram me yu zuljanah ka
khaak e shifa me uska bhi khoo hai mila hua

7. Chaaya hua dimaagh pe uske ghubaar hai
usko bhi ab husain ka ghum na gawaar hai
tukdo pe jo husain ke palkar bada hua

8. Is meer e khush nawa ke tarannum pa naaz hai
sacchaiyo ko iske takallum pe naaz hai
kyu ke hai ye husain ke darr ka padha hua