Suno suno suno suno.(4)

hai dosto ye chashme tasawwur ka waqea
ek din hua jo qambar o fizza ka saamna
dono ko ehle bait ki nisbat pe naaz tha
phir ye hua ke chhid gaya rutbo ka tazkera
is ghar ke naukro ke hai kya aabru suno
us dam hui thi dono me jo guftugu suno

suno suno, qambar aur fizza ki guftugu suno

1. Qambar ye bola sabse hai rutba mera juda
mashhoor do jaha me hu mai abd e mustafa
maula ne yu kiya meri qismat ka faisla
shayan e shaan martaba mujhko ataa hua
sad shukr mai ghulam e janabe ameer hu
shaho ko bheek deta hu aisa faqeer hu

2. Fizza ne di sada mere pucho na martabe
tey karti hu mai lamho me sadyo ke faasle
mashhoor do jahaan me hai mere waqea
hote hai arsh walo me bhi mere tazkere
bus ye sifat hi kaafi hai kaunain ke liye
mai rotiya pakati hu hasnain k liye

3. Qambar ye bola aaj suno mere mojizat
bus mai hi jaanta hu ghulami ki kul sifat
jis dam ali ke qadmo pe hote hai mere haath
mehsus mujhko hoti hai mutthi me kayenaat
thokar se meri noor ke chashme ubharte hai
shams o qamar bhi mere ishare pe chalte hai

4. Fizza ne daad deke kaha meri baat sun
kaisi hasi mili hai mujhe kayenaat sun
wo tere mojize the mere mojizaat sun
pohche hai kis maqam pe fizza ke haath sun
maine hasan husain ko inse uthaya hai
zainab ko mere haatho ne chalna sikhaya hai

5. Qambar ye bola sach hai mai koi nabi nahi
mere liye to koi shariyat bani nahi
mujhko koi kitaab khuda se mili nahi
par mere ikhteyaar me bhi kuch kami nahi
haider ki naukri ke sabab kaamyaab hu
mai chalti phirti ishq e ali ki kitaab hu

6. Fizza ye boli dekha hai ismat ka maine noor
khair un nisa ke faiz se hasil hai ye ghuroor
maryam se badhke bakhsha gaya hai mujhe sha'oor
mujhse rakha hai fatima zehra ne rijs door
khilqat se khaake khidmate binte rasool hu
sadqa hai ye batool ka mai bhi batool hu

7. Qambar ye bola maanne wala hu asl ka
qael hu dil se mai bhi bila fasl wasl ka
seekha hai ba ke nuqte se har nuqta aql ka
mujhko mila hai dars imamat se adl ka
saani nahi hai koi mera khaas o aam me
maula ne mera haath bataya hai kaam me

8. Fizza ye boli haan ye ali ka usool hai
yeh bhi to soch meri muddaris batool hai
jiske sabab shariyaton ka arz o tool hai
ehsaan kisi ka fatima ko kab qabool hai
binte nabi say main ne masawaat seekhi hay
Khud fatima ne chakki mere saath pisi hay

9. Akbar qalam ko rok le mushkil hai faisla
is dar ki naukri ka sharaf hai bohot bada
kitni fazeelaton ka hai manzar yeh martaba
yeh khadim e Ali hai woh zehra ki khadima
dono ki baat apni jaga lajawab hai
in ki koi misaal na un ka jawab hai