Mojiza ek ye bhi hoga aapke aane ke baad
Dhoop ban jaegi saaya aapke aane ke baad

Aapke ke aane se pehle maut hai ye zindagi
zindagi khud hogi zinda aapke aane ke baad

Husn per Yusuf ke jab wo aaj tak hairaan hai
marr hi jaegi Zulekha aapke aane ke baad

Khud hi ho jaunga hazir aapke darbar me
mai na lunga istekhara aapke aane ke baad

Kaun rokega bhala tameer karne se hame
Fatima Zehra (sa) ka roza aapke aane ke baad

Kitni batein madhe Haider ki abhi seene me hai
mai jinhe zahir karunga aapke aane ke baad

Hum to kya hai aapke dushman se khud legi zameen
aapke jaane ka badla aapke aane ke baad

Wo NAMAZI wo NUSAIRI or wo hai MATAMI
khatm hoga bus ye jhagda aapke aane ke baad

Keh rahe hai jo tamasha Matam e Shabbir ko
khud banengey wo tamasha aapke aane ke baad

Aapka darbari shayar sab Takallum ko kahe
kaash mil jaye ye rutba aapke aane k baad

Aapke aane k baad..