Allah (S.w.t) Ho Allah(S.w.t.).....2
Ya Mohammad (S.a.w.w.),
Ya Ali (A.s.)
Ya Sayeda (A.a.)
Ya Mujtaba (A.s.)
Ya Badshah E Karbala (A.s.)

Ya Maula (A.s.).....
Ya Mushkil Kusha (A.s.) .....
Ya Ali (a.s.) Mushkil Kusha.....2

Panjetan (A.s.) Ke Astane Ki Alag Hi Baat Hai.....2
Sar Yahan Aakar Jhukane Ki Alag Hi Baat Hai
Panjetan (A.s.) Ke Astane Ki Alag Hi Baat Hai.....2

Yun To Jannat Ki Giza Khud Bhi Tabarrukh Hai Magar.....2
Nazr E Maula (A.s.) Keh Ke Khane Ki Alahg Hi Baat Hai
Panjetan (A.s.) Ke Astane Ki Alag Hi Baat Hai.....2

Ishk E Haider (A.s) Ka Junoon Kehta Raha Behlol Se.....2
Muft Me Jannat Lutane Ki Alag Hi Baat Hai
Panjetan (A.s.) Ke Astane Ki Alag Hi Baat Hai.....2

Baad Takbeer O Risalat Mehfil E  Shabbir(A.s.) Me.....2
Haidri Nara Laga Ne Ki Alag Hi Baat Hai
Panjetan (A.s.) Ke Astane Ki Alag Hi Baat Hai.....2

Ish Me Shabbir (A.s.) Takleed E Hur Karte Hue.....2
Kashtiyan Apni Chalane Ki Alag Hi Baat Hai
Panjetan (A.s.) Ke Astane Ki Alag Hi Baat Hai.....2

Lakh Hum Karte Rahe Mimbar Pe Haider (A.s.) Ki Sana.....2
Daar Se Midhat Sunane Ki Alag Hi Baat Hai
Panjetan (A.s.) Ke Astane Ki Alag Hi Baat Hai.....2

Yun To Har Mushkil Me Hi Aate Hai Maula (A.s.) Hai Yaken.....2
Wakt E Aakhir Unke Aajane Ki Alag Hi Baat Hai
Panjetan (A.s.) Ke Astane Ki Alag Hi Baat Hai.....2

Barsare Kirtas Akbar Manqabat Ki Shakl Me.....2
Khuld Ke Nakshe Banane Ki Alag Hi Baat Hai
Panjetan (A.s.) Ke Astane Ki Alag Hi Baat Hai.....2