Ya mehdi..(6)
As salam as salam ae imame zamaan
Ya mehdi..(2)
KAHO YA MEHDI..(2)
Ye sari kaaenaat hai qaem imam se..(2)
Baaqi khuda ka naam hai Mehdi ke naam se
KAHO YA MEHDI..(3)


1)Ek pal ko sochiye na agar ho shahe zamaa,
Baadal rahe na abr na barsaat ka nisha(n),
Pis jaye kaenat pahado(n) ke darmeya(n),
Dharti ke sar pe aan gire pal me aasma(n),
In saare haadsaat e zamaana ke saamne..(2)
Deewar khech rakhi hai mere imam ne..

2)Suraj ko saare raste batata hai khud Imaam,
Mashrik hai ye yaha se nikalna hai tera kaam,
Thak jaye gar safar me to phir bhi hai ek makaam,
Maghrib hai mere qadmo me karna yahi qayaam,
Kehde jahan se waase nikalta hai aaftab..(2)
Mehdi se puch-puch ke chalta hai aaftab…

3)Wo hai toh kaaenat hai, wo hai toh zindagi,
Wo hai to ye namaaz hai, wo hai toh bandagi,
Wo hai to aarahi hai sadaa Ya Hussain ki,
Wo hai to ho raha hai jahaa(n) me Ali-Ali,
Ab jo khilafe zikr e Ali lab hilaega..(2)
Duniya se be hisaab jahannam me jaega

4)Aane se uske hogi sitam ki kitaab band,
Hoga har ek muftiye shar ka nisaab band,
Ghaibat ka dar khula to khulenge hisaab band,
Maula kahenge hogaya tauba ka baab band,
Apne paron se pehle mohibbo(n) ko aad do..(2)
Jibreel phir zameen ko dozakh me jhaad do..

5)Raaze mukatteyaat ka hamraaz aega,
Qura(n) Ali ka likha hua saath laega,
Shaane nuzool aayato ki khud bataega,
Makki se makki , madni se madni milaega,
Far-far sahifa bolega uski janaab me..(2)
Wo jaan daal dega khuda ki kitab me..

6)Hoga imam e waqt yu masroofe kaar zaar,
Kaandhe pe be niyaam rakhi hogi Zulfiqaar,
Allah hoga khud wali-allah par nisaar,
Talwar khud kahegi jari waar-waar-waar,
Fehrist dede dushmane aale rasool ki..(2)
Phir dekh kya karegi saheli batul ki..

7)Tanzeeme rozgar ka nazim jab aaega,
Tabdiliyan bashar ki wo fitrat me laega,
Duniya ko apna hakke tasarruf dikhaega,
Insa(n) phir apni soch se bhi aage jaega,
Khairaat me imam se paega mojizaat..(2)
Mitti ka aadmi bhi dikhaega mojizaat,

8)Hogi qaza ke haath me jine ki jab umang,
Aajaega har ek bashar zindagi se tang,
Iblisiyat dikhaegi duniya ko apna rang,
Naeb khuda ka aake ladega khuda ki jung,
Mit jaega badi ka nisha(n) kaenaat se,
Shaitan maara jaega Mehdi ke haath se..

9)Yu aas hai zahoor ki dil ke deyaar me,
Akbar jo maut aa bhi gayi intezaar me,
Phir bhi tadap rahegi dile be karaar me,
Hum muntazir rahenge hamesha mazaar me,
Dega sadae jabhi hume waqt ka Hussain,
Qabron se hum pukarenge ‘Labbayk..(3) Ya Hussain