●Jis nay ik baar tumhain dil say pukara Abbas
Us pay mushkil nahi aati hai dubara Abbas

● Jis Nay Ek Baar Tumhai Dil Say Pukara Abbas (ع) ●

●Sirf Hasnain nahi bag-e-fidak kay waris
Us mai haq rakha hai Zehra nay tumhara Abbas

● Jis Nay Ek Baar Tumhai Dil Say Pukara Abbas (ع) ●

●Mehar Zehra mai tha us wastay mola ki qasam
Tunay pani ko tamacha nahi mara Abbas

● Jis Nay Ek Baar Tumhai Dil Say Pukara Abbas (ع) ●

●Apni nazron ki utari hai nazar khud mai nay
Karke jee bhar kay teray dar ka nazara Abbas

● Jis Nay Ek Baar Tumhai Dil Say Pukara Abbas (ع) ●

●Adha lashkar teri nazron say kata darya par
Adha lashkar teray rahwar nay mara Abbas

● Jis Nay Ek Baar Tumhai Dil Say Pukara Abbas (ع) ●

●Jo bina hathon kay karte hain hukumat sab per
Ya Ali bus wo khuda hai ya tumhara Abbas

● Jis Nay Ek Baar Tumhai Dil Say Pukara Abbas (ع) ●

●Hai yaqeen bara imamon kay liye dunya mai
Zehra kehti tou khuda bhejta bara Abbas 

● Jis Nay Ek Baar Tumhai Dil Say Pukara Abbas (ع) ●

●Tera Asghar jo jawan hota tou hota Bibi
Puray ka pura Ali saray ka sara Abbas

● Jis Nay Ek Baar Tumhai Dil Say Pukara Abbas (ع) ●

●Jo manga sakti hai ik lamhe mai jannat se libas
Hath se us ne siya kurta tumhara Abbas

● Jis Nay Ek Baar Tumhai Dil Say Pukara Abbas (ع) ●

●Har koi hoga wafadar jahan mai Sajjad
Gar samajh agaya dunya ko hamara Abbas