●Hussain ka rutba

●Hussain ka rutba,Hussain ka rutba,Hussain ka rutba
Koi samajh nahi sakta Hussain ka rutba

●Hussain ka rutba

●Hai anbiya se bhi aala, Hussain ka rutba

●Hussain ka rutba

●Tamam nabiyon ki aqlain bhi gar khuda dede
Azal say tabeh abad moat bhi na aaye mujhe
Mai phir bhi likh na sakunga,Hussain ka rutba

●Hussain ka rutba

●The ikhtiyar mohammad mai loh aur qalam
Phir naseeb mai rahib kay khud kiye na raqam
Samajh le ta ke zamana,Hussain ka rutba

●Hussain ka rutba

●Ali ne beti say ki hogi aakay sargoshi
Kaha hai bhai ko tere yazeed ne baagi
Bata de sani zehra,Hussain ka rutba

●Hussain ka rutba

●Hai lafziyat ki yeh kesi kesi majburi
Tamam ayatein tehreer ho gayin phir bhi
Abhi bhi baki hai likhna,Hussain ka rutba

●Hussain ka rutba

●Hussain chahe to hota murda khud zinda
Bohat say log nahi mante yeh baat zara
Habib uth kay batana,Hussain ka rutba

●Hussain ka rutba

●Har ik suray ka mai tarjuma batata gaya
Usay mai hamd sat walnas tak sunata gaya
Kisi nay puch liya tha, Hussain ka rutba

●Hussain ka rutba

●Namazi hanp rahay the,ajeeb halat thi
Taweel sajday say sar ko utha kay bolay nabi
Samajh tou agaya hoga,Hussain ka rutba

●Hussain ka rutba

●Kaha yeh rab nay yaqeen mai badal na jaye guman
Khuda na lagne lage yeh tumhain ay ahle jahan
Sambhal sambhal kay samajhna,Hussain ka rutba

●Hussain ka rutba

●Kisi nay imla likhaya hai tune likha hai
Teray qalam pay taqallum ataye zehra hai
Wagarna kon likhe ga,Hussain ka rutba