Pabandi lagaye koi be peer hawa par..(2)
Karti hai safar midhat e shabbir hawa par

1. Mashriq ki hawaen kabhi maghrib me na aati..(2)
Gar khenchta ghaazi khate shamsheer hawa par
Pabandi lagaye..

2. Ab sirf mai paani pe bharosa na karunga..(2)
Karna hai areeza mujhe tehreer hawa par
Pabandi lagaye..

3. Tab jaake hui hai wo kahi chalne ke qabil..(2)
Jab naam e ali hogaya tehreer hawa par
Pabandi lagaye..

4. Dhundho na zamee par na mili hai na milegi..(2)
Asghar ke kafe paa ki hai tasweer hawa par
Pabandi lagaye..

5. Usqut jo kaha hogai khamosh khudai..(2)
Qabza hai tera shaah ki hamsheer hawa par
Pabandi lagaye..

6. Jo zarf me kaghaz ke samata nahi sajjad..(2)
wo sher mai kar deta hu tehreer hawa par
Pabandi lagaye..