HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER..(4)

Shere Khuda, Daamade Payamber
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER

Shafae Mehshar, Sakiye Kausar
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER

1. Bolna maine jab seekha tha, maa ne meri ye mujhse kaha tha..(2)
Bolo beta jaan laga kar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER

2. Meri wasiyat yaad ye rakhna, qabr ke bahar tum sab kehna..(2)
Khud mai kahunga qabr ke andar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER

3. Wakif the aadabe wila se, kalma adhura kaise padhte..(2)
Daste nabi par bole kankar…
Haider Haider Haider Haider

4. Shabbar aur shabbir ho raazi, sehwan wala peer ho raazi..(2)
Bolo sakhi shahbaaz qalandar..(2)
Haider Haider Haider Haider

5. Dono hai ye roohe wilayat, dono hai ye jaane wilayat..(2)
Allaho akbar Allaho akbar..(2)
Haider Haider Haider Haider

6. Zikre Ali par paabandi thi, lekin Zainab aise boli..(2)
Goonj utha darbaar ke andar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER

7. Usko laga rehta hai khatra, bigda hua hai jiska shajra..(2)
Aa nahi sakta uski zabaa par..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER

8. Doobne waali thi jab kashti, Nuh ne aakhir kisko sadaa di..(2)
Bas ye sadaa thi Nuh ke lab par..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER

9. Meesum se ye mujhko mili hai, maine kitaabe ishq padhi hai..(2)
Pehla sabak hai uske andar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER

10. Chehre ko dhaake aae Ghaazi, Siffeen me aisi jung ladi thi..(2)
Ran me sadaa thi ye to wahi hai..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER

11. Hasi ka aisa teer chala tha, laakho ka lashkar mar hi gaya tha..(2)
Pote aakhir kiske hai Asghar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER

12. Maut se darta hai na daraa hai, ishq ‘Takallum’ bol raha hai..(2)
Daar ke upar zere khanjar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER