Karbobala Ke Dasht Mai, Be Aasra Aale Nabi

Maare Gaye Ansar Sab, Zakhmi Huwa Ibne Ali

Munis Nahi Yawar Nahi, Ghazi Nahi Akber Nahi

Bikhde Pade Hai Jaa Bajaa, Laashe Kahin Aur Sar Kahin

Matam Karo Ehle Aza, Ghar Lutgaya Shabbir Ka

Purse Ko Aayi Sayyeda, Matam Karo Ehle Aza

Pursa Bhare Ghar Ka Hai Yeh, Jo Karbala Mai Lutgaya

(Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2

    Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka

    Ik Do pahar Mei Lutgaya, Makhdum-e-Alam Ka Ghar

    Kaunain Ki Shahzadiyan, Nauha Kuna Hai Nange Sar

    Tumse Ali Ki Laadli Kehti Hai Yeh Sar Pit Kar

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2
    Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka

    Ai Rone Waalo Kya Kahe, Kaisi Huwi Ham Par Jafaa

    Kohe-Musibbat Ghir Paraa, Ham Hogaye Be Aasra

    Har Majlise Shabbir Mai, Aati Hai Zainab Ki Sadaa

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2
    Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka

    Paamaal Hai Farwaa Ka Dil, Paamaal Qasim Ka Badan

    Mara Gaya Nawshaah Bhi, Pardes Mai Tashna Dahan

    Shaale Azaa Pehne Huwe, Kehti Hai Ik Shab Ki Dulhan

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2
    Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka

    Nana Ki Jo Taswir Tha, Rukhsat Huwa Khaakar Sinaa(n)

    Ik Haath Sine Par Rakhe, Behosh Hai Akber Ki Maa(n)

    Zindaa Rahun Kaise Bhalaa, Hai Umme Laila Ki Fughaa(n)

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2
    Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka

    Kya Asr ka Hungaam Tha, Jab Shaah Par Khanjar Chalaa

    Woh Teraa Zarbe Shimr Ki, Mazlum Ka Sukha Galaa

    Maadar Ko Dekha Dasht Mai, Aur Zere-Lab Kehne Laga

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2
    Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka

    Shame-Ghariba Aagayi, Karbobala Roti Rahi

    Jalti Huwi Uss Khaak Par, Baithi Rahi Aale Nabi

    Dashte Balaa Mai Marsiya. Karti Rahi Binte Ali

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2
    Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka

Hai "Mazhar-o-Irfan" Bhi, Farshe Aza Par Maatami

Aankhon Se Jaari Alqama, Purse Ka Hai Haq Toh Yehi

Marham Dil-e-Zehra Ka hai, Nauhagari Sinazani

(Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2

Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka