Abbas

Ghar se chale jab behre safar, (sibte payambar) x2

Kehne lagi abbas ki madar, (shere dilawar) x2

Eik nasihat karti hu(n) me, (ay mere dilbar) x2

Gham koi bhi shabbir ke ayega nahi paas, abbas

Ujrega na zehra ka bhara ghar, abbas mere sar ki qasam kha

(abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas

    ay buzu-e shabbir wafadar qasam kha,

    ujrega nahi zehra ka gharbar qasam kha,

    rakh haath mere sar pe tu ik baar qasam kha, abbas,

    aaqa pe fida hoga tera sar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
    jab tak tera shano pe rakha he ye tera sar,

    ayenge nahi khayma-e sarwar me sitaghar,

    gar aaye su-e khayma laeeno ka wo lashkar, abbas

    jaa(n) de ke bachana hai tujhe ghar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
    ye bazu nigehbaan hai zainab ki rida ke,

    narghe ho agar charo taraf ehle jafa ke,

    tu rakhega shehzadi ko parde me chhupa ke, abbas

    jaegi na shehzadi ki chadar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
    saqa hai tu saqayi pe jaa(n) apni lutana,

    pyasi ho agar aal-e-nabi paani pilana,

    din raat sakina ko kaleje se lagana, abbas

    roegi na shabbir ki dukhtar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
    kar wada ke ye qafla hargiz na lutega,

    jis tarha chala ghar se ye waisa hi milenga,

    ye jhula bhi aur jhoolne wala bhi rahenga, abbas

    ajayenge ghar laut ke asghar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
    doran-e-safar dhyan rahe ehle haram ka,

    har waqt unhe saya mile tere alam ka,

    ik pal bhi na sadat ko ehsas ho gham ka, abbas

    na dhup parhegi kabhi unpar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
    ye baat mere laal tujhe bhi to khabar hai,

    tu fatema zehra ki duawo(n) ka samar hai,

    sarwar ho agar dhup me tu misle shajar hai, abbas

    khanjar na chalega shahe dee(n) par

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
    phir "mazhar-o-irfan" ye bola wo dilawar,

ye jaan bhi qurban hai zehra ke pisar par,

kyu(n) aap ye kehti hai meri madar-e-muztar, abbas

lut jaye na zehra ka bhara ghar