zainab ke saath fizza haaye shaam ja rahi hai
har gaam par zaeefa sadme utha rahi hai

ho shaam ho ya kufa ghazi ke baad fiza
zehra ki betiyon ka parda bana rahi hai
zainab ke saath....

is din ke waaste hi maangi thi zindaigani
yun kehke tazianay mazloom kha rahi hai
zainab ke saath....

choda na zulm seh kar zainab ka saath is ne
zehra se jo kiya tha wada nibha rahi hai
zainab ke saath....

bazaar shaam ka hai zainab ka sar khula hai
sar ko jhukai fizza aansu baha rahi hai
zainab ke saath....

kaandhe pe kal isi ke zahra ka tha janaza
sang aaj qaid hoke zainab ke jaa rahi hai
zainab ke saath....

jawaad ashk khoon ke sajjad kyun na roye
mulkay wafa ki malika dunya se jaa rahi hai
zainab ke saath....