na ro na ro na ro masoom sakina
zindaan may ab yaad na kar baba ka seena

charon simt andhera paas nahi koi
ab to ghazi ki bhi aas nahi koi
kaun sune faryade hai door madina
na ro na ro....

tujko qaid na milti gar tanhai ki
beemari na badti tere bhai ki
rota khoon aankhon se sajjad kabhi na
na ro na ro....

bibi teri maa ko ek pal chain nahi
zainab-o-kulsoom ka rukte bain nahi
godh rubab ki ujri abaad huwi na
na ro na ro....

yaad usay baba ki jab tadpaati hai
sar apna deewaron se takraati hai
ro ro ke kehti hai dushwar hai jeena
na ro na ro....