Haaye sakina..(4)
Shabe ashoor choti shehzadi se kehte the husain
meri jaan sakina..
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

amma hi ki aaghosh me sojana sakina
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

1. Allah kisi beti ko dikhlaye na wo ghum
jo ghum tumhe khud deke chale jaenge kal hum
kal tumko na mil payega ye baba ka seena
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

2. Ye baat ghanimat hai tere waste beta
seene pe mere chayn se soja meri dukhiya
kal khaak me mil jaega zehra ka nagina
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

3. Ek baat mai samjhata hu ae beti abhi se
shikwa nahi karna kabhi amma se, phuphi se
sone ke liye raat ko zidd karna kabhi na
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

4. Kehte hai jise daaghe yatimi meri dukhiya
kal sar pe tere baap ka saaya na rahega
ye ehle sitam tujhe ab dikhlaege keena
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

5. Mangunga dua mai teri khatir ye khuda se
mehfooz rakhe wo tujhe har ranjo bala se
raas aaye safar, aaye safar ka ye mehina
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

6. Jo dard tujhe denge laee mai bhi sahunga
tum naaqe pe aur barsare naiza mai chalunga
waada hai akela tumhe chodunga kabhi na
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

7. Hojayegi tu qaid teri aaho buka bhi
madar bhi teri, phuphiya bhi aur zainul eba bhi
tumko usi zindaan me sona hai sakina
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

8. Ae mazhar o irfan qayamat hai y e jumle
maa baap sada saath nahi rehte kisi ke
sheh kehte the ab seekh lo bin baap ke jeena
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

haaye sakina haaye sakina.