Ya Husain ya husain..(4)
Ya husain ya husain ya husain.. husain..(2)

haye haal likhu kya saadaat ke lutne ka
mai khud ek sayyed zaada hu
mujhe khoon rulate hai aksar
kabhi maqtal, kabhi koofa, kabhi shaam

maula haq imam..(4)
maula haq imam ya hasan ya husain
ya husain ya husain ya husain

1. Baade husain ibn e ali
zainab pe kya aayi ghadi
jalti hui reti pe thi
be aasra aale nabi
shame ghariba aagayi, har su udasi chaa gai
pehre pe zainab aagayi..(2)
aur lab pe tha bus ye kalaam

2. Maqdooma e kaunain ki poti sakina bekhata
baba ka laasha dhundhne phirti thi ban me ja baja
shabbir ki wo laadli, seene pe jo shah ke pali
uski yahi faryaad thi..(2)
jab jal chuke saare khayaam

3. Jis ke lahu ka aaj bhi maqrooz hai saara jaha
halmin ki jo aawaz par maqtal me aaya bezaba
wo asghar e besheer tha jo kaatibe taqdeer tha
haye hurmala ka teer tha..(2)
jis ke liye mehwe kalaam

4. Haye haye mohammad ka chaman kuch is tarah loota gaya
ye bekasi saadaat ki ke barsare karbobala
rokar kahe qasim ki maa, maara gaya qasim jawa
zinda rahe kaise ye maa..(2)
faryaad ya shahe anaam

5. Mashko alam lekar chala mashko alam ka paasba
mashke sakina jab chidi pani baha baade azaa
abbas ke baazu kate, dil kaap utha ye sochke
wo khaak par kaise gire..(2)
kehte hue tum par salaam

6. Tere akhee mazloom ka ghar se janaza jab chala
taboot par 100 teer the lekin shahe karbobala
teero pe tha laasha tera, maa sayyeda mehwo buka
kehne lagi karbobala..(2)
zinda rahe dono ka naam

7. 11 moharram aa gayi aale nabi ka karwaa
tha shaam ki janib rawa aur kafile ka sarbaa
wo abide bimaar tha chalne se jo laachar th
mehve buka ghum khwar tha..(2)
kehta chala har ek gaam

8. Kaafi hai rone ke liye wo shaam o kufa ka safar
chadar talab karta raha sajjad qaidi nauhagar
fir qaidiyo ka qafila darbaar me laaya gaya
khudba jo zainab ne diya..(2)
Lab Per Tha Yeh  Nauha Madham

9. Irfan o mazhar  abidi karte raho har dum ye bain
bus zindagi bhar ya hasan, bus zindagi bhar ya husain
nauhe ka yu haq ho ada, jab barsare farshe aza
nauha padhe khud sayyeda..(2)
rokar kahe sab khaso aam