https://www.humaliwalayazadar.com/2020/05/ayyam-e-ali-nohay-2020.html https://www.humaliwalayazadar.com/2020/03/manqabat-2020.html https://www.humaliwalayazadar.com/2020/01/ayyam-e-fatima-nohay-2020.html

Ya Habib Ya Hussain Noha Lyrics Irfan Haider 2013

Fidaa Ka be Abi Anta Wa Ummi Ya Hussain (as)-
Ya Hussain (as) Ya Hussain (as) Ya Hussain (as) Ya Husain....2
Ikshif Qalbi be Haqqe Ali (as) O Zehra (sa).... 2

Mere Maa Baap Tujh Par Haye Fida Maula-
Jabhi Maine Jukaa Di Sun Dua Maula-
Mein Nauha Khawn Zakir Hu Tera Maula-
Ho Meri Nasi Mein Yeh Silsila Maula-
Wasta Zainabe Kubra (sa) Ka....
Ya Habib Ya Ghareeb Ya Shahid Ya Hussain (as)....2
Ikshif Qalbi be Haqqe Ali (as) O Zehra (sa).... 2

Khuda Se Jab Bhi Manga Tujhse Paaya Hai-
Tere Dar Se Khaii Kaun Aaya Hai-
Marize Laa Dawa Ko Zindagi Dede-
Tujhe Mushkil Kusha Kehkar Pukaara Hai-
Waasta Fatema Sughra (sa) Ka....
Ya Habib Ya Ghareeb Ya Shahid Ya Hussain (as)....2
Ikshif Qalbi be Haqqe Ali (as) O Zehra (sa).... 2

Tere Gazi Ka Parcham Jab Uthaya Hai-
Sakina (sa) Ki Qasam Tu Yaad Aaya Hai-
Asire Bekhata Jo Hai Tera Momin-
Sare Zindaan Uske Lab Pe Aaya Hai-
Waasta Bali (as) Sakina (sa)ka....
Ya Habib Ya Ghareeb Ya Shahid Ya Hussain (as)....2
Ikshif Qalbi be Haqqe Ali (as) O Zehra (sa).... 2

Kanizaane Janabe Fatema Zehra (sa)-
Libaase Sog Mein Hai Karti Hai Nauha-
Mile Rahib Ko Bete Aap Ke Dar Se-
Ali (as) Asgar (as) Ka Sadqa De Hame Maula-
Waasta Khaali (as) Jhule Ka...
Ya Habib Ya Ghareeb Ya Shahid Ya Hussain (as)....2
Ikshif Qalbi be Haqqe Ali (as) O Zehra (sa).... 2

Dua Go Matami Hai Saf Ba Saf Maula-
Nigaah Ho Mein Alam Ho Hartaraf Maula-
Mile Har Matami Ka Yeh Sharaf Maula-
Ke Dekhe Karbala Bhi Aur Najaf Maula-
Waasta Tujhko Gaazi Ka....
Ya Habib Ya Ghareeb Ya Shahid Ya Hussain (as)....2
Ikshif Qalbi be Haqqe Ali (as) O Zehra (sa).... 2

Hussaini(as) Maao Behno Ki Dua Yeh Hai-
Rahe Sar Par Salamat Bhai Behno Ke-
Rahe Aabaad Maula Woh Sabhi Bache-
Juluso Majliso Mein Jinse Ronak Hai-
Waasta Akbaro Asger (sa) Ka,...
Ya Habib Ya Ghareeb Ya Shahid Ya Hussain (as)..,.2
Ikshif Qalbi be Haqqe Ali (as) O Zehra (sa).... 2

Rahe Aabaad Maula Yeh Aazakhane-
Mitana Jinko Chaha Saari Duniya Ne-
Sabile Zuljhana Aur Taaziye Jhule-
Rahe Shame Aza Ke Gird Parwaane-
Waasta Majliso Matam Ka...
Ya Habib Ya Ghareeb Ya Shahid Ya Hussain (as)....2
Ikshif Qalbi be Haqqe Ali (as) O Zehra (sa).... 2

Yeh "mazhar Abdi" Ki Hai Dua Maula -
Yahi Nauha Ho Meri Nasi Ka Virsa-
Kahe 1rfan Haider" Bhi Yahi Rokar-
Mera "naade Ali (as)" Ho Nauhakhawn Tera-
Waasta Aale Mohammed (as) Ka....
Ya Habib Ya Ghareeb Ya Shahid Ya Hussain (as)....2
Ikshif Qalbi be Haqqe Ali (as) O Zehra (sa).... 2

As Salamo Alayka Ya Aba Abdiliah (as)-
As Salamo Alayka Yabna Rasuluallah (saww)-
As Salamo Alaykum Wa Rehmatun Laahe Wabarkaato-
Similar Videos