aayi makhtal me shaame gharibaan
baap ko dhundti hai sakina

ya bunayya elayya elayya
de raha hai sada sheh ka laasha

kamsini me yatimi mili hai
aag sine me gham ki lagi hai
kitni raaton se soyi nahi hai
aake baba ke sine pe soja
ya bunayya elayya elayya

chaar su hain laeenon ka lashkar
haaye us par andhera sitamgar
kyun nikal aayi khaime se baahar
kaun dega tujhe ab sahaara
ya bunayya elayya elayya

haay subhe dahum shaame ghurbat
tujh pe tuti balaa ki musibat
she rahi ho hamaari bhi furqat
sun ke baba ka nauha chali aa
ya bunayya elayya elayya

le gaya hai laeen goshwaare
zaalimon ne tamaache bhi maare
jal chuke saare khaime tumhaare
tute dil ko milega dilaasa
ya bunayya elayya elayya

mere sine ki aadat pari hai
khaak par nind aayegi kaise
zakhm tujhko kahaan sone denge
tera bistar hai baba ka sina
ya bunayya elayya elayya

jaabajaa ran me laashen hain beta
khauf khaawo agar ay hazina
bhayya akbar ko aawaaz dena
kehna akbar bulaate hain baba
ya bunayya elayya elayya

baba baba jo kehti chali ho
mere laashe ko tum dhundti ho
meri chaahat ko tarsi huwi ho
tere gham se tarapta hai baba
ya bunayya elayya elayya

chur zakhmon se laasha mera hai
sina tiron se mera bhara hai
laashe besar ki phir bhi sada hai
mere pehlu me soja sakina
ya bunayya elayya elayya

haaye irfan o mazhar wo manzar
mil gayi baap ki laashe besar
royi laashe se batchi lipat kar
us ghari sheh ka laasha pukaara
soja soja ay meri sakina